Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaAdliya ko azadi ki zaroorat : Gogoi

Adliya ko azadi ki zaroorat : Gogoi

New Delhi: Rajya Sabha rukan ban’nay ke baad Hindustan ke sabiq Chief Justice Ranjan Gogoi adliya ke andar mojood bad unwani ke talluq se bayan diya hai. Unhoun ne wazeh lafzoun mein kaha hai ke nisf darjan logoun ka ek giroh hai jo Judges ko tawwan deta hai. Nisf darjan logoun ki ye ek aisi labi hai jis ka jab tak gala nahi ghontaa jaye ga adliya ki azaadi mumkin nahi hai.

Sabiq Chief Justice Ranjan Gogoi ne halaank nisf darjan logoun ke Group ka asar adliya par to zaher kardeya lekin unhoun ne ye nahi bataya ke ye nisf darjan loog kon hain. Hindi News Portal Jansatta par shaya khabar ke mutabiq Ranjan Gogoi ne apne bayan mein kaha ke adliya ki azaadi ka matlab hai ke aisi labi ki girift ko khatam kiya jaye. Jab tak is labi ko toda nahi jayega, Adliya azad nahi hosakti. Mazid kaha ke agar koi muqadma un ke mann mutabiq nahi chalta hai to wo tawwan day kar muqadma ko ow gawa dete hain. Wo har mumkin tareeqay se mutaser karne ki koshish karte hain.

Hindustan ke sabiq Chief Justice Ranjan Gogoi ka ye bayan un logoun ki baat ko mazbooti aata karta hai jo aksar adliya mein bad unwani ki baat karte hain aur adalatoun ke faisloun ko siyasat se mutasir bhi batatay rahay hain. Maslan Rafael aur Ayodhya muamlay par sunaye gaye faislay ko bhi Prashant Bhoshan jaisay maroof wakeel ne katghray mai khada kiya hai aur is ke khilaaf aawaz bhi uthai hai. Is liye sawal ye uthta hai ke kya Ranjan Gogoi bhi kabhi is labi ki zad mein aa ye? Halaank Ranjan Gogoi is baat ko suray se kharij kar diya ke Rafael aur Ayodhya maamla par faisla unhoun ne kisi dabao? mein sunaya. Unhoun ne kaha ke Rafael aur Ayodhya par faisla ittafaq raye se sunaya gaya faisla tha aur agar un faisloun par ilzaam lagaye jayen ge to is ka matlab ye hai ke aap un 2 faisloun mein shaamil sabhi Judges par ungelian utha rahay hain.

Ranjan Gogoi ne is terhan ke ilzamaat ko bhi yaksar mustard kar diya jis mein kaha gaya tha ke Rafael aur Ayodhya maamla par faisla hukoomat ke hak mein sunaye jany ki wajah se unhein Rajya Sabha ki rukniat mili. Is gumaan par unhoun ne kaha ke Rajya Sabha mein namzadgi kisi terhan ka ehsas ya tohfa nahi hai. Is terhan ki baat karkay mujhe badnaam kiya gaya kyunkay mein ne is labi ko lalkara hai jo adliya ki azadi ke liye khatrah hai. –YTN STAFF