Iraqi Parliament ki janib se Barham Saleh ko sadar muntakhib kiye janey ke chand ghantay baad Adel Abdulmahdi ko wazeer e azam muqarrar karte huwe inhen cabinet tashkeel dainey ki dawat di gayi hai. 76 sala Abdul Mahdi Brijwazia khandan se talluq rakhtay hain. Un ka khandan maazi mein siyasat mein sargaram raha hai. Un ke waalid Iraq ke Shah Faisal awwal ke daur mein wazeer aur Parliament ke rukn bhi rah chuke hain. Abdul Mahdi ney France , Syria aur Lebanon mein taleemi safar kya. Apne is safar mein unhon ney mukhtalif nazriaat ka bhi mutaleya kiya. Nationalism, ishtirakiat aur Islami afkaar un ke mutalea mein rahay. Sabiq wazeer e azam Ayaad Alavi ke daur mein woh wazeer khazana ke ohde par fayez rah chuke hain jab ke sadar Jalal Taliban ke sath naib sadar ke ohde par bhi fayez rahay magar kuch arsa baad ikhtelafat ki binaa par istefa dey diya tha. Iraqi dastoor ke mutabiq Adel Abdul Mahdi 30 din tak apni Cabinet tashkeel den ge jisay manzoori ke liye Parliament mein paish kiya jaye ga. Siyasi taur par Abdul Mahdi Iran ke haami Supreme Islami Council se talluq rakhtay hain taham un ke Amrici democrates rehnumaon ke sath bhi achay taluqaat qaim hain.