Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAdalat ke faislay par Aman wo Aman qayam rakhnay ki Moulana Arshad...

Adalat ke faislay par Aman wo Aman qayam rakhnay ki Moulana Arshad Madani ki appeal

New Delhi : Babri Masjid Ram Janam bhoomi muamlay par adalat ke faislay ko tasleem karne aur mulk mein Aman wo Amaan qayam rakhnay ke ehad ka iada karte hue Jamiat ulama-e-hind ke sadar Moulana Syed Arshad Madani nay kaha kay yeh maamla ek naasoor ki shakal ikhtiyar kargaya hai jiska hal kiya jana mulk ki salamiyat aur yakjahti ke liye zaroori hai. yeh baat aaj yahan unhon nay ek press conference se khitaab karte hue kahi.

Unhon nay kaha kay Babri Masjid ka masla azadi ke qabal aur azadi ke baad ek sangeen masla bana hua hai aur Jamiat ulama-e-hind nay sadkon ka masla bananay ke bajaye qanooni tareeqay se hal karne ki koshish ki. agarchay yeh ladai kaafi taweel hogayi aur yeh maamla supreme court mein aaya aur apne dalail mazboot tareeqay se rakhnay ke liye hum nay behtareen wakla ki khidmaat haasil kee. unhon nay kaha kay hum nay behtareen dalail aur saboot suprme court mein rakhay hain. ab suprme court ka jo bhi faisla aayega haemin tasleem hoga. unhon nay kaha kay Babri Masjid ka muqadma mehez ek araazi ki ladai ka nahi hai balkay yeh muqadma mulk mein dastoor aur qanoon ki baladasti ka muqadma hai aur har insaaf pasandeeda chahta hai ke saboot wo shawahid aur qanoon ke mutabiq is muqadmay ka faisla ho na ke aastha ki bunyaad par. unhon nay kaha kay suprme court bhi keh chuka hai ke yeh muqadma sirf aur sirf haq milkiat ka hai.

Molana nay muslim tanzeemon sameit tamam hindu tanzeemon aur hindustaniyon se appeal ki ke woh is faisla ko dil se tasleem karen aur mulk mein aman wo Amaan ko barqarar rakhen. unhon nay kaha kay mulk mein aman wo aman qayam hai to mulk qayam hai agar aman wo Amaan barbaad hoga to mulk barbaad hoga. unhon nay kaha kay mulk mein aman wo aman aur supreme court ke faislay ko tasleem karne ke silsilay mein hum tanha nahi hain balkay tamam muslim jamaten, RSS aur hukoomat is muaqqaf par qayam hain ke faisla jo bhi aaye hum aman wo Amaan barqarar rakhenge.

Molana Arshad Madani nay kaha kay masjid ke baare mein hamara muaqqaf hai ke Babri Masjid ek masjid thi qayamat tak masjid rahaygi kisi fard ya jamaat ko haq nahi hai ke kisi mutabadil ki umeed mein masjid se dastbardar hojaye. unhon nay kaha kay musalmanoun ka yeh nazriya poori tarhan haqayiq wo shawahid par mabni hai ke masjid kisi mandir ko munhadim karkay nahi banai gayi.

Kashmir ke muamlay mein jamiat ke muaqqaf ka iada karte hue kaha kay hukoomat ko wahan ke logon ko etemaad mein lena chahiye aur unse guftagu karni chahiye. unhon nay kaha kay aaj tak jammu wo Kashmir ke halaat mamool par nahi aaye hain aam shehriyoun ko shadeed mushkilaat ka saamna hai. school wo college rozgaar sab band hain, senkdon jawano ko jail mein qaid kardiya gaya hai aur kisi ko unki khabar nahi hai.

Unhon nay kaha kay masail sirf guft wo shaneed se hal hosaktay hain. yeh maamla supreme court mein hai aur hamein umeed hai ke kashmirion ko insaaf mileyga. duniya ki azeem taaqat bhi taaqat ke bil par masla hal nahi karsaki hai, America aur rusia afghan se raah faraar ikhtiyar karne par majbor hona pada hai. –YTN STAFF