Saturday, May 10, 2025
HomeIndiaActivists ki giraftari mein madakhilat nahin: SC

Activists ki giraftari mein madakhilat nahin: SC

Supreme Court ka faisla badbaqtana aur ghair mutawaqqa, Professor Varavara Rao ke khandan ka adalat e uzma ke faisla par tabsarah.

New Delhi. Professor Varavara Rao ke khandan ke aik fard ney Wazeer e Azam Narendra Modi ke qatal ke ilzaam mein paanch Activists ki giraftari mein madakhilat se Supreme Court ke inkaar par tabsarah karte huwe usay badbaqtana aur ghair mutawaqqa qarar diya. Yeh paanch Activists inn dinon apne ghar par mahroos hain. Baen baazu ke qalamkaar ko guzishta mah Pune Police ney Hyderabad se girftar karliya tha jabkay Vernon Gonsalves aur Arun Ferreira ko Mumbai se, Trade Union Leader Mrs. Sudha Bhardwaj ko Faridabad, Haryana aur Civil Liberties leader Mr. Gautam Navlakha ko New Delhi se girftar karliya gaya tha, taham Supreme Court ki hidayat par unhen apne apne gharo par mahroos rakha gaya hai. Adalat e Uzma ney aaj Koregaon Bhima tashadud muqadma ke silsila mein paanch Activists ki giraftari mein madakhilat karne se inkaar kar diya. Adalat ney kaarkunon ki fauri rihayi ki darkhwast ko bhi mustarad kar diya. Professor Varavara Rao ke nephew Venu Gopal Rao ney kaha ”yeh badbaqtana aur ghair mutawaqqa hai chunkay jis andaaz mein saari karwai chalayi gayi aur Judges ney jo rad-e-amal diya tha iss se hum yeh tawaqqu kar rahay thae ke muqadma kharij kardiya jaye ga. Adalat mein maan ghadat shawahid ke jhoot ka bhanda phoot jane ke bawajood aaj ka faisla hamari tawaquaat aur umidon ke khilaaf aaya hai.”Agarchay adalat ney madakhilat se inkaar kardiya taham is ney ghar par nazar bandi mein chaar hafton ki tausee kar di hai. Akhbaari numaindon se baat cheet karte huwe Professor Varavara Rao ki ahliya Hema Lata ney kaha ke hum is faisla ki tawaqqu nahi kar rahay thae. Mein aur Varavara Rao maamla ko adalat tak le jane par hamaray wukla ka shukriya ada karte hain. Adalat mein honey wali mubahis ke paish e nazar hum yeh tawaqqu kiye thea ke giraftari ka muqadma kharij kardiya jaye ga. Professor Varavara Rao ko 28th  August ko Pune Police ney Hyderabad se girftar kiya tha taham 30th August ko Supreme Court ki Hidayat par inhen ghar par Mahruse rakha gaya hai. Mr. Vinu Gopal ney kaha ke Professor Varavara Rao aur deegar ke khilaaf darj muqadma ko barkhast karne Bombay High Court ya Hyderabad mein High Court se rujoo hon ge.