Saturday, July 5, 2025
HomeIndiaActivists ka Maoist se talluq: Maharashtra Police

Activists ka Maoist se talluq: Maharashtra Police

New Delhi. Maharashtra Hukoomat ne aaj Supreme Court mein daakhil kardah apne halaf nama mein yeh id-daa kiya ke huqooq e insani ke 5 jahadkaron (Activists) ko banned Organization CPM ( Maoist) se talluq rakhnay ke pukhta saboton ki buniyaad par girftar kiya gaya tha na ke ikhtelaaf raye ki wajah se. Adalat e Uzma ne 29th August ko giraftarshudgan ko 6th  September tak ghar par nazarband rakhnay ki hidayat dainay ke sath kaha ke ‘Democracy mein ikhtelaaf raye safety valve’ hai. Maharashtra Police ne mumtaz Historian Romila Thaper aur deegar 4 ki darkhwast par jawabi halaf nama daakhil karte huwe ilzaam aayed kiya ke woh Mulk mein pur-tashaddud karwaiyon ko anjaam dainay aur Security Forces par ghaat lagaakar hamla karne ki mansoobeh bandi kar rahay thay. Huqooq insani ke 5 jahadkaron ko Pune Police ne 28th August ko Bhimakoregaon tashadud muqadma mein Mulk ke mukhtalif maqamat se girftar karliya tha. Riyasti Police ney kaha ke khatirkhah shawahid maujood hain jo un ke is id-daa ko zaayel kardete hain ke unhen ikhtelaaf raye rakhnay par girftar kiya gaya hai. Police ney Thaper Economists Prabhat Patnayak aur Devaki Jain, Socialogist Satish Deshpande aur Legal Expert Maja Duruwala ki janib se daayer kardah darkhwast ke qanooni juwaz ko challenge karte huwe kaha ke woh is maamla mein tehqiqaat ke liye woh ajnabi hain.