Friday, May 3, 2024
HomeIndiaAction hero sunny deol kisanoun aur apne aaqaon ke darmiyan phas gaye

Action hero sunny deol kisanoun aur apne aaqaon ke darmiyan phas gaye

New Delhi: Bollywood ke mashhoor action hero sunny deol jo-ke aksar apni filmon mein ek aam insaan ke haq mein na sirf apni aawaz buland karte deekhaee dete hain balkay hukoomat aur arbab-e-majaz se takrate hue bhi deekhaee dete hain lekin BJP ke rukan parliment ko ab haqeeqi zindagi mein aam insaan ke haq ke liye –apne aaqaon se takaraane ka sangeen challenge darpaish hai kyunkay BJP hukoomat ke khilaaf kisaan baradri saraapaa ehtijaj banay hue hain aur sunny deol ko BJP hukoomat ki haami bhi bhrni hai.

Markaz ke kisaan qawaneen ke khilaaf jari kisanon ke ehtijaj ke darmiyan Punjab ke Gurdaspur se BJP ke lok sabha rukan parliment sunny deol ne kaha ke woh apni party aur kisanon ke sath hain aur hamesha kisanon ke sath rahenge. sunny deol ne Twitter par kisanon ke jari ehtijaj ka zikar karte hue kaha ke yeh masla hukoomat aur kisanon ke mabain hai aur iske darmiyan kisi aur ko nahi aana chahiye. Unhon ne kaha dono ( hukoomat aur kisaan ) mamlaat par baat cheet ke baad ek hal talaash karenge.

Unhon ne mazeed kaha ke bohat saaray log mojooda sorat e haal se faida uthane ki koshish kar rahay hain aur masail paeda kar rahay hain.

Unhon ne kaha woh ( awam ) kisanon ke baray mein nahi soch rahay hain aur inhen apna zaati mafaad ziyada Aziz hain. action hero sunny deol ne saathi adakar aur karkun deep sidhu se khud ko doo karliya jo kisanon ke ehtijaj mein hissa le rahay hain. Rukan-e-parliment ne kaha deep sidhu jo intikhab ( 2019 lok sabha intikhabaat ) ke douran mere sath thay ab woh ziyada din se mere sath nahi hain aur jo kuch bhi woh bol rahay ya kar rahay thay woh is se mera koi talluq nahi hai wo unka khudka amal hai. Mein un ki kisi bhi sargarmi se munsalik nahi hon. sunny deol ne wazeh kiya hai ke hamari hukoomat hamesha kisanon ki Falah wo behbood ke baray mein sochti hai aur mujhe yaqeen hai ke kashtkaron se baat karne ke baad hukoomat behtar nataij samnay laayegi.