Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsAbu Dhabi mein Swimming Pool kholnay aur Dubai mein Sheesha ki ijazat

Abu Dhabi mein Swimming Pool kholnay aur Dubai mein Sheesha ki ijazat

Dubai: Abu Dhabi ke mehakma saqafat o sayahat ne Hotels ko 18 sharait ke sath swimming pool bahaal karne ki ijazat di hai. Tafseelaat ke mutabiq mehakma saqafat o sayahat ne jo sharait muqarrar ki hain un ka talluq ahteyati tadabeer se hai. Swimming Pool bahaal karne se qabal muaina karwana hoga.

Tamam mulazimeen aur Swimming Guides ka Corona test karna hoga. Har 15 din mein Corona test zurori hoga. Swimming Pool gunjaish se 50 feesad tak hi istemaal kiya jasakay ga. Is hawalay se tafseelaat board par tehreer karna hon gi. Swimming Pool ke istemaal se qabal sayaho, Amlay aur thekay daaroun ka darja hararat maloom kiya jaye ga. Aisay kisi bhi shakhs ko jis par influenza ki alamtain nazar aa rahi hon Swimming Pool istemaal karne ki ijazat nahi hogi. Aaftabi bestroun ke darmain 2 meter ka faasla zurori hoga. Farsh par samaji faaslay ki alamtain lagana hon gi. Sayaho 2 meter se kam ke faaslay par milnay julne ki ijazat nahi hogi.

Doosri janib Dubai ki baldia ne 18 July se Sheeshay aur Tambaku ke liye makhsoos maqamat ki bahaali ka faisla kiya hai. Baldia ne Sheesha aur Tambaku ki bahaali ke liye hifazati tadabeer ki pabandi ko laazmi kiya hai. Dubai baldia ne kaha hai ke kisi bhi gahak ko Sheesha pesh karne se qabal safai aur Sanitizing zurori hogi. Sheeshay ke Pipe aisay hon jo ek baar hi istemaal hotay hon. Har gahak ke baad Sheeshay ka pani badalna hoga. Sheesha pesh karne se qabal mulazim ko ijazat nahi hogi ke wo Sheesha check kere.