Monday, April 21, 2025
HomeTrending NewsAbu Dhabi mein Park aur saahil khol diye gaye

Abu Dhabi mein Park aur saahil khol diye gaye

Abu Dhabi: UAE mein coronavirus se halaat behtar honay ke baad zindagi mamool ki taraf gamzan hai. Abu Dhabi ke mutaliqa hukkaam ne kaha hai ke jummay 3 July se riyasat mein baaz Park aur saahil muqami shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ke liye hifazati tadabeer ki pabandi ki shart ke sath khole ja rahay hain.

Tafseelaat ke mutabiq pehlay marhalay mein baaz public park aur saahil khole jayen ge jabkay ayendah marhalay mein deegar tamam Park aur saahil kholnay ka faisla media ke zariye jari kiya jaye ga. Jummay se Emirate Park, Abu Dhabi mein khalifa tafreeh gaah, Al Ain mein Al Salemi Park aur Al Dhafra ke ilaqay mein zayed public park khoola jaye ga. Jahan tak sahiloun ka talluq hai to Abu Dhabi ki baldia 3 July ko Corniche  saahil, Hudayriat  saahil aur Al-Dharfa ki baldia Al Mirfa saahil khol diye hain.

Emirate Park intizamia mein rabita incharge Rasha Kablawi ne park khole jaane ke faislay par musarrat ka izhaar karte huve kaha kay tamam tayyariyan mukammal karli gayi hain. Park anay waloun aur park ke amlay ki sahet-o-salamti ki tadabeer karli gayi hain. Park aur saahil par sair ke liye anay waloun se kaha gaya hai ke wo jitni deer Park ya saahil par rahen hifazati Mask ki pabandi karen. 2 meter tak saji faasla qaim rakhen. Kisi bhi group mein 4 se ziyada loog shaamil nah hon.

Baldeati Counsel ney ye bhi tay kiya hai ke kisi bhi park ya saahil ki 40 feesad tak gunjaish ke hi dairay mein shehrioun ko sair ke liye anay ki ijazat hogi. Car parking ki gunjaish 50% tak istemaal ki jaye gi. Sahiloun aur Parkoun mein nashistoun ke darmiyan munasib faaslay ki pabandi bhi karna hogi. Park aur saahil anay waloun ka daraja hararat, Hifazati Mask, dastanoun aur samaji faaslay ki pabandi security amlah karaye ga.