Dubai: Israeli sadar Reuven Rivlin ne Abu Dhabi ke Wali Ahad Sheikh Mohammed bin Zayed Al Nahyan ko Yaroshallam ke doray ki dawat di hai. Ye dawat UAE aur Israel ke darmain taluqaat mamool par laane se mutaliq muahiday ke elaan ke chand roz baad di gayi hai. Tafseelaat ke mutabiq Israeli sadar ne apne Twit mein kaha ke mein ne Wali Ahad Sheikh Mohammed bin Zayed Al Nahyan ko khat bheja hai jis mein Yaroshallam ke doray ki dawat di hai. Unhoun ne is umeed ka izhaar kiya ke UAE aur Israel ke darmain moahida khittay ke awam ke darmain aetmaad bananay aur badhaane mein madad gaar saabit hoga.
Israeli sadar ne ye bhi kaha ke muahiday se khitta agay badhay ga. Is se mashriq wasti mein istehkaam aur khushhali aaye gi. Israeli sadar ne Twit ke sath Arabi zabaan mein dawat naame ki copy bhi Twitter par shaya ki hai. Yaad rahay ke UAE aur Israel ne elaan kiya tha ke wo America ki salisi par sefarti taluqaat qaim karne par mutafiq hogaye hain. Is ke bamuqabil Israel ne ehad kiya hai ke wo maqboza garbh Urdan ke Palesteeni ilaaqon ko apni khud mukhtari mein shaamil nahi kere ga.
Yaad raye UAE aur Israel ke darmain tareekhi moahida tey huwa hai jis ke tehat dono mumalik ke darmain sefarti taluqaat mukammal tor par mamool par ajayeen ge. Is muahiday mein Americi sadar Donald Trump ney salisi ka kirdaar ada kiya hai jis ke mutabiq Israel maqboza gharbِ Urdan ke kuch ilaqon ka apne sath ilhaaq moattal kar raha hai.