Dhaka : Bangladesh ke dar-ul-hakoomat Dhaka mein Bangladesh university of engineering and technology mein ek taalib-e-ilm ke qatal ke baad mulk bhar mein talba ki janib se shadeed ehtijaj kiya jaraha hai. ki report ke mutabiq 21 sala Abrar Fahad ko social media mein hukoomat par tanqeed karne ke baad tateel ke din hostel mein murda paaya gaya tha.
Report ke mutabiq Abrar Fahad ke qatal ke shoba mein Bangladesh ki hukmuran jamaat awaami league ki students wing se talluq rakhnay walay mutadid kaarkunoun ko giraftar kiya gaya hai. Bangladesh ki mashhoor university mein taalib-e-ilm ke qatal per har tarf sog ka samaa hai aur hazaron talba ney ehtijaj kiya jabkay sarkari universition mein runuma honay walay qatal ke waqeat bhi aashkaar ho rahay hain.
Report mein kaha gaya hai ke awaami league ki students wing Bangladesh chatra league ( BSL ) par talba par tashadud aur unse bhatta khori ke ilzamaat aed kiye jatay hain, taham hukoomat ney yaqeen dilaya hai ke woh Abrar Fahad ke qatal ke zimmedaaron ko insaaf ke kathgaray par khada karegi.
21 sala Abrar Fahad ki laash Bangladesh university of engineering and technology dhaka mein itwaar ko bar-amad hui thi.
Tajzia nigar Meer sabir ney kaha hai ke sarkari Universities mein hukmuran jamaat ke student wing kaarkunon ki janib se tashadud ka waqea Bangladesh mein koi nai baat nahi hai, Universities mein daakhil honay walay naye talba ko apne programon aur rallies mein shirkat ke liye majboor kiya jata hai. Universities ke andar leadron ki baton se ikhtilaaf karne ya apni raye rakhnay walay talba ko maar peet mamool hai.
Jab 2018 mein school ke bachon ney road safety par ehtijaj kiya tha to helmet pehnay namaloom afraad ney inhen buri tarhan tashadud ka nishana banaya tha jiska zimmedaar BSL ke kaarkunoun ko tehraya gaya tha. 2018 mein hi BSL ke kaarkunon ney raj Shahi university mein ehtijaj karne walay talba par hamla kiya tha aur ek taalib-e-ilm ko hathodey se maarne ki video social media par viral bhi hui thi. awaami league ke ek senior rehnuma ney kaha hai ke yahi sochnay ka waqt hai ke kiya is tarz ki siyasat ki himayat karni chahiye.
Doosri janib Dhaka aur deegar shehron mein talba ney sadkon par ehtijaj kiya aur naaray lagatay hue sadkon ko jam kardiya aur musalsal dosray roz bhi Abrar Fahad ke qatilon ko girftar karne, saza denay ka mutalba kiya gaya. Bangladesh university of engineering and technology mein honay walay ehtijaj mein university ke sabiq talba aur asatzh ney bhi shirkat ki. university ki teachers association ke sadar AKM masood ney kaha university ke rehaishi hall mein ek taalib-e-ilm ka tashadud se qatal na-qabil-e-qubool hai.
Abrar Fahad ke qatal se wazeh hogaya hai ke hukmaran talba ke tahaffuz mein mukammal tor par nakaam hochukay hain. –YTN STAFF