Friday, May 3, 2024
HomeSliderAbdul Samad hindustani Messi ban'nay ke khwahan

Abdul Samad hindustani Messi ban’nay ke khwahan

New Delhi : Waisay to Hindustan mein cricket ko jo maqboliat haasil hai woh football ko haasil nahi hai lekin is ke bawajood nojawanon ki is khel mein dilchaspi aur apni salahiyaton ko manwane ki kayi ek misalein samnay aa rahi hai jin mein ek naya naam sahal Abdul Samad ka hai.

Sirf saat muqablon ka tajurbah rakhnay walay hindustani football team ke nojawan khiladi Sahal Abdul Samad ne is mukhtasir arsa mein hindustani team mein ek naya josh paeda kiya hai lekin yeh bohat kam log jantay hain ke nojawan hindustani mid fielder Abdul Samad Argentina ke aalmi shohrat Yafta football khiladi Lionel Messi ki tarhan hindustani team ki khidmaat anjaam dena chahtay hain yani woh hindustani team ke Messi ban’nay ke khwaahan hain.

22 sala Abdul Samad ka taluq kerala se hai jinhon ne mah June mein Kings cup ke douran apna bain ul aqwami career shuru kiya aur sirf chaar mahino ke andar hi unhon ne tamam tar tavajja apni janib mabzol karwali hai.

Mid fielder Abdul Samad in dinon apni shandaar salahiyaton ki wajah se surkhiyon mein hai. asian champion qatar ki team ke khilaaf world cup qualifier ka jo muqaabla guzashta hafta munaqqid hua tha is mein Abdul Samad ke shandaar muzahiray sab ki tavajja ka markaz rahay jis ki wajah se hindustani team ne asiayi champion team ko apne khilaaf Goal bananay nahi diya aur yeh muqaabla tareekhi andaaz mein baghair Goal ke dara hua.

Is muqaabla ke douran Abdul Samad ne apne saathi khiladi ke liye do martaba Goal bananay ke mawaqay paeda kiye they. Abdul Samad ne khabar rasan agency ko diye gaye apne interview mein kaha ke mujhe kisi bhi maqam par khailnay mein koi pareshani nahi lekin mein jahan bhi khelon gaind par apna qabza rakhnay ke lawa team ke defence ko mustahkam karte hue Goal bananay ke mawaqay paeda karoon jaissa ke Messi apni team ke liye karte hain.

Abdul Samad ne wazeh kiya hai ke woh Messi ke bohat badey madah hain aur unhon ne aalmi shohrat Yafta Argentina ke khiladi Messi ke khel ko dekh kar bohat kuch seekha hai is ke alawa woh Messi ki tarhan apni team ki futohat mein kaleedi rule ada karna chahtay hain. Abdul Samad ke mutabiq kyunkay woh Messi ke madah hain aur unhi ki tarhan team ke liye muzahiray karna chahtay hain yahi wajah hai ke un ke khailnay ka andaaz bhi Messi ki terhan hi hai.

Abdul Samad ko hindustani team ne apni salahiyaton ka muzahira karne ka mauqa is liye mila kyunkay team ke naye coach ne nojawan ba-salahiyat khiladion ki khoj ke sath inhen qaumi team mein mauqa faraham kiya hai. Abdul Samad ne Indian Super League ke club kerala blaster ke liye guzashta do saal se apni khidmaat faraham ki hain.

2 saal shandaar muzahiray karne ke bawajood inhen January mein asian cup ke liye hindustani team mein jagah nahi di gayi thi jis ke bawajood Abdul Samad ne apni himmat nahi haari. Abdul Samad geind par qabza rakhnay ko kaafi pasand karte hain aur iske liye woh har aaye din apni salahiyaton mein izafah kar rahay hain. gaind par qabza rakhnay ke zimn mein Abdul Samad ne kaha ke kabhi mein ehmaqana tareeqa se qabza ganwaa deta hon jo kay ahem mauqa ke liye behtar nahi hota.

Abdul Samad ne kaha ke dora jadeed ke football khel mein gaind par qabza rakhna intahi ahmiyat ka haamil hota hai taakay uskay zareya hareef khiladion ko pareshan kiya jasakay. indian super league ke mutaliq izhar-e-khayal karte hue Abdul Samad ne kaha ke shaiqeen ki janib se jab hosla afzai ke liye naaray baazi aur cheekh wo pukaar ki jati hai to yeh khiladion mein ek naya josh peda karta hai. neez gharelo mahdanon mein muqami shaiqeen ki janib se milnay wali daad wo tehseen ek misbet alamat hai. –YTN STAFF