Sunday, April 20, 2025
HomeExclusiveAb nojawanoun ku Maa Baap se baghawat zaroori hai

Ab nojawanoun ku Maa Baap se baghawat zaroori hai

Hyderabad: Nojawan nasal jitni ziyada bigdi huvi hai is se kahin ziyada bigaad Maa Baap mein peda hochuka hai. Aaj lakhoun ki tadaad mein aisay nojawan ladke aur ladkiyan hain jo taleem yafta hain, Zaheen hain aur behtareen mustaqbil bananay ke salahiyat rakhtay hain. Lekin un ki pehli zaroorat shadi hai. Wo sunnat ke mutabiq saadgi se shadi karkay ek pak zindagi shuru karna chahtay hain. Lekin un ke rastay ki sab se badi rukawat Maa Baap aur Baap Dada se chala araha wo system hai jo inhen ghalat raastoon par janay par majaboor kar raha hai. Ladki ke Maa Baap ko Well settle ladka chahiye jis ka ghar zaati ho, Nokari achi ho aur NRI ho to ladke ke Maa Baap ko shadi lain deen wali aur mayaari chahiye. Miyaar kis ka? Miyaar Rasool Allah  ya Sahaba ka nahi balkay unn jahiloun ki shadi ka miyaar chahiye jis miyaar ke sath un ke khandan, mohalle aur shehar mein loog kar rahay hain. Nateeja…???

Allah ke Nabi ka farmaan tha ke pehlay Nikha baad mein aala taleem ya Career. Lekin har do taraf ke Maa Baap ne kaha ke nahi pehlay career baad mein Nikha. Allah ke Nabi ﷺ ka farmaan tha ke sab se behtareen Nikha wo hai jo sab se kam kharch aur aaasaaan ho, Lekin har do taraf ke Maa Baap ne kaha ke nahi jab tak khoob kharch nah kiya jaye shadi ka armaan poora ho hi nahi ho sakta. Maa Baap ke paas daleel ye hai ke poori Society yahi kar rahi hai. Isi ka nateeja hai ke wo kon si bad ikhlaqi, badkaari aur bad tehzibi aisi rahi jo hamaray muashray mein daakhil nahi hochuki aur Nabi ka farmaan radd karne ki saza ke tor par jo gurbat o iflaas ka azaab nazil huwa hai wo sab ki aankhoun ke samnay hai. Is ke mukammal zimma daar Maa Baap hain. Maa Baap ne apne Maa Baap ko aisa hi karte huve dekha tha, Aur ye silsila oopar se kayi nasloun se chala aaraha hai. Ab agar nojawan nasal ne baghaawat nahi ki to samajh len ke aindah anay wali naslen ikhlaqi aur muashi tor par ek aatish fishan ke dhanay par khadi hain. Lafz baghaawat par kayi logoun ko aitraaz ho sakta hai lekin is ki tafseel agay aa rahi hai.

Quran mein jahan ek taraf kaha gaya ke ”Maa Baap ko uff bhi nah kahu “ Wahein ye bhi isi surah Ankboot mein hukum diya gaya ke ”Agar wo tum ko shirk mein mubtala karne ki koshish karen tum un ki ( Maa Baap ki ) hargiz itaat mat karna“. Is ka matlab ye hai ke jahan haqooq ul ibad ke muamlay mein Maa Baap ka hukum maanna farz hai wahein shirk, bidat, Munkirat aur Haraam ke muamlay mein un ki itaat hargiz nahi karna farz hai. Aur shadi ke muamlay mein shirk ye hai ke Rasool Allah ki shadioun ko miyaar bananay ke bajaye ”loog kiya kahinge “ Ke khauf se apna miyaar sunnat se allag karlena. Chand soo saal pehlay tak Hindustan Pakistan Bangladesh ke saaray bashinday mushriq they. Siwaye dochar feesad logoun ke jo Turk, Arab ya Afghanistan se aagaye they. Allah ne un karodoun logoun ko kalma aur Namaz waghera to ataa kardiya lekin un logoun ke aqayed, Rasam o rivaaj aur tor tareeq woi rahay jo mushriq samaaj ke they. Mashriq samaaj mein shadi Maa Baap ki marzi se karna farz hai. Agar koi apni marzi se kahin aur kar lete hain to un ko ”Bhagode“ kehte hain. Un ki samaaj mein koi izzat nahi hoti, Un se ”Zenakaroun “ Jaissa sulooq kiya jata hai. Yahi mushrikana aqeedah ya tareeqa musalmanoun mein bhi dar aaya hai isi ko wajah se Maa Baap aulaad ki shadioun ke muamlay mein jaissa chahain Blackmail karte hain. Bad qismati se hamaray haan bhi yahi tareeqa chala rahe hai. Shadi ke waqt aurat ko jitna zaleel kiya jata hai sab jantay hain. Yahi wajah hai shadi ke baad phir aurat is ka badla bhi layte hai. Lekin kis se? wo jinhoun ne jahez ke liye is ko tang kiya un se badla nahi layte balkay baho aur baho ke Maa Baap se layte hai. Aur ye silsila nasal Dar nasal chalta hai. Aurat hi aurat ki dushman hoti hai.

Loog bilkul nahi samajh rahay hain ke un shadioun ke system ne muashray ko kitna tabah kardiya hai. Agar musalman ye baat nahi samjhainge to aindah bad tareen nataij bhugatne ke liye tayyar hojaien. Herat un molvi hazraat par hoti hai jo un shadioun mein honay wali munkirat ko ”Khushi se“ ka juwaz faraham karkay nah sirf inhen jaaiz kar rahay hain balkay un mujrimoun ko isi terhan Protection de rahay hain jis terhan BJP apne fasadi ghondoun ko Protection deti hai. Jahez baarat waghera ke khilaaf taqririn aur waaz to khoob karte hain lekin Islam ne un ko roknay ke liye jo hukum diya hai ke Boycott karen ( jab tum mein se koi buraiee ko dekhe to pehlay haath se, Ya zabaan se rokay ya kam se kam dil se nafrat kere, Is ke baad imaan ka koi daraja baqi nahi reh jata ), koi is ka boycott karna nahi chahta balkay un ki shadioun mein shareek hotay hain, Khoob pait bhar kar khatay hain aur lifafay ya koi aur mara-aat haasil karte hain. Agar aisa nahi hai to phir kon si wajah hai jis ki wajah se ye khulay haraam ko halal kar rahay hain?

Hum nojawan ladkiyoun se darkhwast karte hain ke wo apni khuddari aur ghairat ko jagayen, Aur baghaawat karen. Baghaawat ka matlab ye nahi ke ghar se bhaag jayen aur ek nai badkaari ki tahazeeb ko rivaaj den. Balkay ye himmat karen ke elaan kar dein ke hum kisi aisay bhekari se hargiz shadi nahi karain jo bad to daur ki baat hai bad sheet bhi qubool kerega. Nah khushee se dainay lainay ke naam par, Nah Maa Baap ki khwahish par aur nah Rasam o rivaaj ke naam par. Agar aap himmat karkay ke ye keh den gi to aap ka ye jumla pooray khandan par ek bijli ban kar girayga. Ho sakta hai aap ki shadi ruk. Jaye, Ho sakta hai do chaar saal tak koi rishta le kar aap ke ghar nah aaye, Ho sakta hai loog aap ko bud zubaan, Gustaakh, Baaghi waghera kahin. Ho sakta hai is se bhi baday ilzamaat aur tohmatain aap ke sar bandh den. Lekin yaad rakhiye agar aap ki shadi do chaar saal ruk gayi ya nahi huvi to koi qayamat nahi ajaegi. Agar aap ke bachay do chaar saal baad peda hon to koi mehshar bapaa nahi hojayiga. Lekin aap ka jumla logoun ke dil, Dimagh aur zameer ko zakhmi kardeyga. Lalchijoun ke mun band ho jaienge. Aap ki wajah se nah jaaney kitni ladkiyoun ki zindagi bach jaegi.

Baghaawat kis terhan karni hai? Baghaawat Shariat ne jo aap ko azadi di hai, Jo haqooq diye hain un ke liye aawaz utha kar baghaawat karni hai. Allah ke Nabi? ne ladkiyoun ko rehmat qarar diya lekin aap ke Maa Baap ne aap ko ek boojh bana diya hai. Aap ke liye ghar bikta hai, Aap ke liye Maa Baap ko karzz, Bheek, Ya najaaiz kamaai par majaboor hona padta hai. Aap ke liye bhaieyoun ko bajaye tijarat jaisay babarkat kaam ke nokari ki ghulami karna padta hai. Aap ke shohar aur sasural ko khush rakhnay ke liye apni khuddari baicheni padtee hai. Bataye aap boojh hain ya rehmat?

ladkiyan to ghairat aur khuddari ki nishani hoti hain. Lekin Maa Baap ney aap ko be ghairat ban’nay par majboor kardiya hai. Aap ki shadi ka soda aisay kiya jata hai jaisay aap koi mazoor hun, Koi badnaam hon ya koi gunahgaar hon. Ladke ke Maa Baap aap ki qabliyat, Aap ke kirdaar, Aap ki seerat ki to baat karna hi nahi chahtay, Wo to sirf jahez, Baarat aur naqad raqam ki baat karna chahtay hain. Kiya is ka saaf matlab ye nahi hai ke wo aap se nahi balkay un cheezoun se shadi kar rahay hain? Aap to is poori dealing mein mehez ek Super Market ki Complementary ke tor par jarahi hain. Aur agar aap ke Maa Baap ney ladke ke Maa Baap ke demand ka inkaar kardiya, To kiya wo loog aap se shadi karen ge? Hargiz nahi. Kiya ye aap ki ghairat aur khuddari ki tauheen nahi hai? Kiya aap ab bhi aisay ghar mein shadi kareingi jahan aap ki nahi balkay aap ke laaye huve jahez aur zeyafatoun ki qader hai? Aap ko chahiye ke phone uthayein aur jis se bhi shadi horahee ho, Is ko phone karen aur batayen ke mein ye qabliyat rakhti hon, Meri ye seerat hai. Agar aap ko mujh jaisay kirdaar ki ladki chahiye to is lain deen se inkaar karen warna mein shadi ke leye teyar nahi hun. Agar ladka samajh daar hoga to fori haan kahe ga, Be waqoof hoga ya laalchi Maa Baap ki aulaad hoga to kahe ga ke ”Ammi se pooch kar batata hon“. Yaad rakhye. Jis ke sath zindagi guzaarni hai is se raast baat karne aur maamla tye karne ka haq Islam ne diya hai. Hazrat Khadija ki shadi ek misaal hai ke aap ne khud pegham bheja aur baat cheet ki. Lekin hamaray haan ye mamlaat buzurgoun ne apne haath mein le kar ladke ladkiyoun ki khareed o farokht ka system ijaad kardiya hai. Kiya is system ku todna zurori nahi hai?

Aaj aap ke zehnoun mein ye bata deya gaya hai ke agar taleem achi hogi to achay rishta ayenge. Doosri daleel ye bhi di jati hai ke agar taleem hogi to mard ke oopar inhisaar hona nahi pade ga. Is ka nateeja ye nikla ke aap ki taleem mukammal honay tak umrein 30 saal horahee hain. Jab ladke walay dekhnay atay hain to ladke ke Maa Baap ko 20 ikees saal ki ladki chahiye. Kahan jayenge ye saaray 30 saal ki ladkiyan jo badi Degree rakhtay huve bhi achi nokari karte huve bhi is aayedel ladke se mehroom hain jo un ke mizaaj ke mutabiq ho. Phir aap ke Maa Baap aap ko samjhota karna. Phir ya to omar walay ka rishta aeyega, Ya kisi aisay ka jis ki biwi mar gayi hai ya Talaq hochuki hai. Ya phir ghair Muslmoun ke ilawa koi nahi miley ga kyunkay Muslim samaaj mein ab ladkiyoun ki taleem ke Matching ladke nahi meltay. Bataye aap kiya karen gi? Aap ko majaboor aur be bas kardainay walay nizaam ke khilaaf baghaawat karni hogi.

Nabi ke farmaan ke mutabiq aap ko Graduation ke douran ya fori baad shadi karni chahiye. Kyunkay shadi ke baad jo zindagi ka sahih lutaf uthany ki omar hoti hai wo guzar jaanay ke baad agar shadi hoto be maza hoti hai. Is mein ek samjhote ki zindagi hoti hai. Agar shadi saadgi se ho aur wahi paisa shadi ke baad aap ki taleem par lagey to ye ziyada behtar hai. Shadi ke fori bad aglay saal hi bacha ho ye koi zurori nahi. Islam ne jahan ziyada bachay peda karne ki targheeb di hai wahein bachoun ki Planning ki bhi ijazat di hai. Koi qayamat nahi ajaegi agar aap ke bachay do charsal der se hon ge. Aap ki aala taleem aur career ka khawab tu pura hojayiga. Aap dekh nahi rahi hain shadioun mein takheer ki wajah se hazaroun ladkiyan ghalat raastoon par jaany par majaboor hain. Shadian horahee hain lekin sabiqa Affairs ki wajah se talaaq bhi horahee hain.

Ab mein lakhoon un nojawan ladkoon se bhi ye guzarish karna chahta hon ke aap mard banaye. Quran ney surah Nasa aayat 34 mein mard usay qarar diya hai jo aurat par kharch karta hai, Ladki waloun se jahez, Baarat ka khana aur naqad raqam mangnay wala mard hargiz nahi ho sakta. Ye Maa Baap hain jo aap ko namard ban’nay par majaboor karte hain. Aap ke Maa Baap aur ladki ke Maa Baap mil kar aap ke peechay jo saudey baazi karte hain pehlay wo band karen. Ye Match Fixing hai. Ladke walay kehte hain ke hamein kuch nahi chahiye baad mein kehte hain hum ney tu mana kiya tha lekin ladki waloun ney israar kar ke deya. Agar mard waqai mard ban kar apna mutalba manwayin to samaaj se ye Social Blackmailing khatam hojayigi, Aur ladki walay is khauf se baher nikal jayen ge ke shadi ke baad ladki ko koi be izzat nah kere. Lekin aap ko apne Maa Baap ko har qeemat par manwana pade ga. Surat-e-haal ye hai ke Hindustan se buut parasti ko khatam kiya ja sakta hai, Sharaab khatam ki ja sakti hai lekin ladke ki Maa, Dadi aur Nani ke dimagh se jahez aur baarat ke armaan ko khatam nahi kiya ja sakta. Is ke liye aap ko mard hi nahi bohat taaqatwar mard ban-na pade ga warna ye Maa Baap jo bachpan se aap ko kabhi khatna ka dulah, Kabhi Besmillah ya Roza rakhwayi ka dulah banatay rahay hain, Ab shadi ka dulha bana kar ladki waloun se khoob wusool karkay aap ko namard banatay rahen ge. Aap ko mard ban’nay ke liye namard ya sikahnay walay system se baghaawat karni hogi.

Is jahez aur baarat ne aap ke mun par taaley padwa te hain. Aap hi ke nahi baday baday molvioun aur leaders ke bhi Mouv par taaley pad chuke hain. Ye loog bahar taqriren kar saktay hain lekin ghar wali ke samnay kuch nahi keh satke warna wo ghour kar dekhatii hai aur poochti hai ke ”Mire Maa Baap se jis waqt wusool kiye they us waqt Islam kyun yaad nahi aaya tha. Ghhor kijiyej kis terhan sahaba ek jung se wapas atay they aur fori doosri jung ke liye nikal padte they. Kyunkay un ko nah behnoon ki shadi ki fikar thi aur nah baityoun ki shadion ki. Lekin aap ghar se nahi nikal satke .Gujrat mein aap ki behnoon ko nanga karkay sadkoun par nikala gaya aur esmat raizi ki gayi, Delhi mein kya kya huwa ye sab aap jaan kar bhi siwaye Social Media par un cheezoun ko forward karne ke kuch aur nahi kar saktay. Ghar se nikalny ke baat atay hi aap ko khauf aata hai kyun ke jis sasural ne aap ko gaadi, Paisa, Baarat ka khana, Furniture waghera diya hai is ke badlay aap rehan hain. Aap un cheezoun ke chokidaar hain. Aap un ko chhodh kar nahi jasakte. Aap ko is ghulami se nikalny ke liye baghaawat ki himmat peda karni hogi

Ab aap ku system se baghaawat ye karna hai ke jo loog ye jahez aur barat ke khanay le chuke hain wo is ka paisa wapas karen. Jo abhi lainay walay hain wo honay walay sasural ko warning day den ke agar wo baghair jahez aur khaano ke shadi ke liye tayyar hain to Besmillah warna kahin aur rishta dhundle. Rishta cancel honay ke khauf se ladki walay khud hi aap ke qadmoun mein giِr kar tayyar hojayinge. Ladki se raast kaheye ke mein falan hon, Meri aamdani itni hai, Mein itna naqad mehar ada karsaktha hon aur itnay logoun ka valima day sakta hon, Kya aap ko manzoor hai? Agar ladki samajdar hogi to fori haan kahe gi, Be waqoof hogi to kahe gi Mommy se Pappa se pooch kar bataongi. Aisi buzdil ladkiyoun se shadi karkay aap bhi saari zindagi buzdil hi banay rahen ge. Islam ne aurat aur mard ko apni shadi ki baat cheet ki ijazat di hai. Sahaba ke kayi waqeat saboot hain. Ju haq Islam ne mard aur aurat ko diya tha is haq ko Maa Baap ne chean liya aur shadi ki baat cheet ko ek saudey baazi banadiya. Dono taraf se Chacha, Mamu, Taya waghera jatay hain aur baat cheet tye karte hain ek sahib barat mein kitnay aadmi hon ge ye tye karte hain, To dosray sahib jahez mein kya kya hoga ye tye karte hain. Ye saaray aaj ke mohazab dalaal hotay hain. Un ko ye khauf bilkul nahi hota ke kal Nabi jab hoz-e-kausar par ye sawal karen ge ke tum ney wo cheeze deen mein kahan se layein jo deen mein theen hi nahi to un ke paas kya jawab hoga?

Nowjayanoun ye batao ke aap ke Dada ney jo kuch jaedade theen aap ki Phuppo ki shadi ke liye beech dala. Aap ke Nanaun ney apni jaedade aap ki Qalaon ki shadi ke liye beech dala. Jo kuch thoda bohat bacha tha aap ke waalid hazraat ney aap ki badi Aapa ki shadi ke liye beech dala. Ab aap ke paas kal apni aulaad ki shadioun ke liye baichnay ke liye kiya hoga. Ladkiyoun ki Maayen ye batayen ke kal aap ki betiyan apni baityoun ki shadioun ke liye paisa kahan se layein gi. Agar lakhoon rupiya nahi hoga to kya wo isi terhan karen ge jo aaj ki majaboor ladkiyan kar rahi hain? Un halaat mein jab ke firqa parastoun ne yun bhi Musalmanoun ke nokryoun aur kaarobar ko har taraf se roka huwa hai, Lockdown ne lakhoon ko qarzoun mein mubtala kardiya hai. Siyasi halaat aisay nahi hain ke aap ki qoum muashi ya siyasi tor par oopar utthay gi aur kuch paisa jama kere gi. Ab jo kuch bacha hai agar is ko bhi shadioun ki laanat mein khatam kardiya to Musalmanoun ke paas bheek ya chori ke koi aur rasta nahi bachay ga. Kyunkay Peghambaroun ki baat jab jab radd ki gayi, Nabiyo ke tareeqay ko chode kar jab jab apni khwahisaat ki pairwi ki gayi un qomoun par gurbat iflaas, Zina kaari, Fahaashi aur bil akhir zalim qomoun ki ghulami ke azaab aaye hain. Shadioun mein fuzool kharchyan ab isi azabِ ellahi ki taraf le jarahi hain. Is se bachney ka ek hi tareeqa hai. Wo ye hai ke jo loog Nabi ﷺ ke tareeqay par shadi nahi karte a un ki shadi ka dawat nama qubool karna Shariat ki tauheen hai. Un logoun ka dawat nama nah sirf wapas kijiyej balkay aisay logoun ka muashray mein aisay hi boycott kijiyej jaisay Corona virus ke mareezoun ka kiya jata hai. Balkay ye loog coronavirus se bhi badter loog hain, Nah un ko masjidoun mein anay den nah apne qabrustanoun mein.

Dr Aleem Khan falki
9642571721
Social Reform Society, Hyderabad

 

Disclaimer: The views, thoughts & opinions expressed within this article are the personal opinions of the author. and the same does not reflect the views of Y THIS NEWS and Y THIS NEWS does not assume any responsibility or liability for the same.