New Delhi : Congress ke senior rehnuma Ghulam Nabi Azad nay jumeraat ke roz daawa kiya ke Hindustan ab jamhoori nahi raha. Azad ka yeh bayan is waqt samnay aaya jab woh Dravida Munnetra Kazhagam (DMK) ke zareya jantar mantar mein Kashmir ke siyasi rehnumao ki nazar bandi ke khilaaf ehtijaj ke douran ek ijlaas se khitaab kar rahay the . unhon nay kaha ke mai batana chahta hun, ab hum jamhooriat nahi hain. agar koi yeh sonchta hai ke woh jamhoriat mein reh raha hai to woh shakhs ehmaqon ki jannat mein jee raha hai.
Azad nay mazeed kaha ke ”jab mein wazeer it-tila-aat wo nashriyat tha, to mujhe reyasti milkiat walay media platform ke editor ko phone karne ki himmat nahi thi, lekin un hukmuran jamaat ka koi bhi rehnuma kisi bhi media out let, iske mudeeran ya malkaan ko hukum deta hai aur out let ko qubool karna padta hai. yeh jamhoriat nahi hai .
Azad ne markazi hukoomat se jammu wo Kashmir mein Telecom ki tamam khidmaat ko bahaal karne aur Omar Abdullah, Farooq Abdullah, aur Mehbooba Mufti sameit tamam siyasi qaidyoun aur rehnumao ko riha karne ki appeal ki. Jammu Kashmir ke aam shehrion mein se bhi 0. 001 feesad land line ko istemaal nahi kiya ja taa hai, sirf sarkari ahelkaar hi usay istemaal karte hain. agar aap waqai yeh daawa karte hain ke Kashmir mein aman hai to phir Mobile khidmaat bahaal karen.
Ehtajaji muzahirey mein shirkat karne wali jamaaton mein Communist party of India ( Marxist ), Trinamool congress, samaaj waadi party aur indian union muslim league shaamil theen. is ijlaas mein congress ke rehnuma Karti Chidambaram aur Ghulam Nabi Azad, RJD ke Manoj Jha, CPI(M) leaders Sitaram Yechury aur Brinda Karat, Samajwadi Party’s Ram Gopal Yadav, aur DMK ke senior qaideen nay shirkat ki. –YTN STAFF