Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsAb France Ki Masjid Par Hamla

Ab France Ki Masjid Par Hamla

Paris : New zealand ke shehar Christchurch mein jummay ki namaz ke waqt hue dehshat gard hamlay ke zakham abhi mundamil bhi nahi hue hain ek  aur masjid par hamla hua hai aur is martaba France ke shehar ki masjid ko nafrat ka nishana banaya gaya hai. francesi hukkaam ke mutabiq maghribi shehar brest mein qaim ek masjid par namaloom shakhs ki firing se 2 afraad zakhmi hogaye jis mein imam sahab ke zakhmi honay ki bhi khabar di jarahi hai. France ke wizarat-e-dakhla ne tweet ke zareya bayan jari karte hue kaha ke police, hamla aawar ki talaash ke liye chaapay maar rahi hai. firing ke waqeye ke baad mulk bhar ki ibadat gaahon ki security sakht karne ke ehkamaat jari kar diye hain.

brest ke istighasa jain philip recep ne kaha ke hai masjid se logon ke bahar atay waqt hamla aawar ne firing ki, taham abhi yeh baat wazeh nahi ke hamla aawar ki firing ke peechay mazhabi maqasid they ya nahi. muqami intizamia ne bayan jari karte hue kaha ke dono zakhmi afraad ko hospital muntaqil kardiya gaya hai aur unki haalat khatray se bahar hai. mubayyana hamla aawar hamle ke baad khudko goli marli. Awam se police tehqiqaat mukammal honay tak ilaqay se dur rehne ki darkhwast ki. Hukkaam ki janib se mubayyana hamla aawar aur zakhmi honay walay afraad ke hawalay se koi tafseelaat tadm tehreer nahi batai gayeen.

wazeh rahay ke aalmi satah par haliya arsay mein musalman mukhalif hamlon mein izafah dekha gaya hai. rawan saal 15 March ko Newzealand ke shehar Christ church mein waqay al noor masjid aur lane wood mein dehshat gard Trent Brenton ne daakhil hokar andha dhund firing ki thi. Trent Brenton ne masjid mein is waqt firing ki jab badi tadaad mein namazi, namaz-e jummay ki adaigi ke liye masjid mein moujood they. is afsoosnaak waqeye mein 50 afraad jaan bahaq jabkay mutadid zakhmi ho gaye they aur Newzealand ki Wazeer e Azam ne hamlon ko dehshat gardi qarar diya tha . –YTN STAFF