Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadAb bhi KBR Park kyun band hai? Telangana High Court

Ab bhi KBR Park kyun band hai? Telangana High Court

Hyderabad: Markazi aur reyasti hukoomaton ne Unlock 4 ke rehnuma khutoot ke tehat pabandi mein narmi ki hai lekin is ke bawajood ke KBR Park Kasu Brahmanandha Reddy National Park hanooz band hai. Is zimn mein Telangana High Court ne Banjra Hills mein waqay KBR Park of Mani Jungle ko dobarah nah kholnay par hukkaam se sawal kiya hai.

Telangana High Court ne kaha ke Jab Unlock 4 hidaayat nama mein koi pabandi nahi hai to phir bhi ke KBR Park kyun band hai? yahan tak ke Metro khidmaat, Malls aur masharti aur siyasi ijitmaat ki bhi ijazat hai. Covid-19 ki wabai marz ko roknay ke liye taaza oxygen zaroori hai, Chunkay corona bunyadi tor par pehphdon par assar andaaz hota hai is liye park ki taaza huwa awam ke liye zaroori hai. Adalat ne un awamil ka mushahida kiya aur hukoomat ko hidaayat ki ke woh is muamlay par mutaliqa hukkaam se hidayat haasil karen.
Telangana High Court Justice A Raja Shikar Reddy ne yeh khayalat Taekwondo ke Nana Master, M Jinath Reddy ki taraf se dair darkhwast tabsarah karte hue kiya. Jivath Reddy ne logon ke mafaad mein park ko fori tor par kholnay ke liye hukkaam se adalat ki hidaayat talabb ki.

Darkhwast guzaar ke wakeel R Gopal Krishna ne kaha ke park mein har umar ke awam ke liye Yoga, Muraqba aur werzish jaisi mutadid sargarmia anjaam di jati hain. Jab hukoomat ke wakeel ne hukkaam ki taraf se hidayat milnay ke baad is maslay par jawab dainay ke liye kuch waqt talabb kiya to judge ne maamla agli samaat ke liye mokhar kardiya.