Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaAb Agra mein nahi Agravan mein hoga Taj Mahal ?

Ab Agra mein nahi Agravan mein hoga Taj Mahal ?

Lucknow : Uttar pradesh hukoomat ki janib se Allahabad ko  Prayagraj aur Mughalsarai ko Deen Dayal Upadhyaya Nagar rakhnay ke baad, ab Uttar pradesh ki yogi hukoomat Agra ka naam badal kar Agravan rakhnay ka mansoobah bana rahi hai.

Reyasti hukoomat ne Agra mein waqay ambedkar nagar university se naam ke tareekhi pehlu par ghor karne ko kaha hai. university ke mehakma history ab is tajweez par nazar daal rahay hain.

Dr ambedkar university of Agra mein shoba tareekh ke sarbarah professor Sugam Anand ne iski tasdeeq ki hai. unhon ne kaha ke ”hamein reyasti hukoomat ki taraf se ek khat mosol hua hai ke tareekhi saboot talaash karen agar Agra shehar kisi aur naam se jana jata tha. hum ne tehqiqaat ka aaghaz kar diya hai aur is khat ka jawab denge.

Ittila ke mutabiq, Yogi hukoomat Agra ka naam badal kar agravan rakhnay ki mansoobah bandi kar rahi hai, kyunkay kuch morkeen ka khayaal hai ke ye shehar ka asal naam tha. BJP ke rukan-e-assembly ae Jagan Prasad Garg,, jinka haal hi mein dehant hogaya. us se qabal yogi Adityanath ko ek khat likha tha, jis mein unse Dar khwast ki gayi thi ke wo Agra kanam tabdeel karkay Agravan kar den.

Jo log usay ”agravan“ ke naam se chahtay hain, wo taweel arsay se iski himayat mein apni Daleel pesh kar rahay hain, lekin bohat se dosray log shahinsha akbar ke baad Agra ko Akbarabad kehte hain, jisne usay mughal saltanat ka dar-ul-hukoomat banaya tha.

Travel and tour operator Rakesh tiwari ne kaha ke ”Agra ko duniya bhar mein Taj Mahal  ke shehar ke naam se jana jata hai is liye is ke naam ki tabdeeli sahih nahi hogi. –YTN STAFF