Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAazmin Hajj ke liye Be-misaal intezam

Aazmin Hajj ke liye Be-misaal intezam

Riyadh: Saudi Security Forces ney Masjid Al Haram, Mecca Mukarrama shehar, Mina, Muzdalifa aur Arfat mein aazmin hajj ke qafilon ke liye aman o Amaan , traffic aur nazam wo zabt par mushtamil sah jehti hifazati intezamaa kiye hain. Tafseelaat ke mutabiq Hajj, Umrah aur ziyarat par anay walay aazmin hajj ke liye security intezamaa Saudi aman aama ke liye bohat bada challenge hain. Saudi hukoomat security intezamaa ke liye musallah afwaj, national guards aur wizarat e dakhila ke matehat security forces ke tamam idaray waqf krr rakhe hain.

Hajj Security Forces ke commander Major General nee media se guftagu karte huwe kaha ke 5 hazaar se zayayd jadeed CCTV camera masjid al haram aur mshaar Muqaddisa ( Mina, Muzdalifa , Arfat ) mein nasb hain. Unki badolat mazkoorah maqamat par hajion se mutaliq daqeeq tareen tafseelaat 24 ghantay millti rehti hain. Yeh camera aik aik chipay ka ihatay kiye huwe hain. Al-qarni neh Minamein press conference ke douran tafseelaat batatay huwe kaha ke hajj ke tamam maqamat ke atraaf security ohdedaron ki aik mazboot deewar qaim kar di gayi hai aur inhen jadeed tareen alaat faraham kiye gaye hain. Allah ke karam se koi bhi shakhs security ki is deewar mein naqb nahi laga sakta. Sarkari wardi aur saada libaas mein security ohdedar kaseer tadaad mein har jagah tainaat hain. Ghair qanooni tareeqay se Hajj maqamat par anay walay afraad ko roknay ke liye Mecca Mukarram, Mina, Muzdalifa aur Arfat ke atraaf check postion qaim hain. Kachay raastoon par bhi uska intezam kya gaya hai. Ilawa azeen aman aama aur Saudi fazaiya ke helicopter poooray ilaqay par 24 ghantay parwazein kar ke nigrani karte rehtay hain.

Alqharni neh tavajja dilaye ke kisi bhi Saudi ya muqeem ghair Mulki ko hajj maqamat par ghair munazzam tareeqay se dire daalnay ki ijazat nahi. Bahar se Hajj par aanewalon ko bhi aisa karne se roka jaye ga. Wizarat e Hajj o Umrah aisay malmin ka ehatasab kere gi jin ke Haji khulay maqamat par dire daaley huwe hon ge. Muawin commander Hajj Force Major General Khalid neh kaha ke baghair ijazat hajj maqamat par janiwalon ko roka ja raha hai. Ab tak takriban 3 lakh afraad ko wapas kar diya gaya hai. 114 hazaar se ziyada gadiyaan hirasat mein le li gayi hain. aman o aaman ke Director General Khalid Al Harbi ney Medina Munawwara mein security intezamat ka muaina karne ke liye hajj forces ke marakaz ka doora kiya. Is mauqa par unkay hamrah aman aamam ke aala ohdedaar bhi mojood they. Khalid ney medina Munawwara police ke director aman aamam ke aala ohdedaron se hajj ke douran security intezamaat ki tafseeli report li. Masjid Nabwi ke zaireen aur Hajjaj karaam ko hungami haalat mein aman o Amaan faraham karne wali schemoon ka jaiza liya. Aman o aaman ke director ney itminan dilaya ke hajj security forces insani, dainee aur pesha waranah kirdaar ada karne ke liye poori terha chokas hain.

Khalid ney harmain express train station hajj o Umrah security force Campus, masjid nabwi  operation room ka bhi dora kya. Hajj par security intezamaat ke liye yeh janna zurori hai ke security forces ko kahan, kya aur kaisay aman o Amaan ka intezam karna hota hai. Hajj par aaniwale masjid Al Haram mein khanah e kaaba ke tawaf, maqam e ibrahim par namaz, Safa marwah ki saee aur 5 waqt ki namazain jamaat ke sath ada karte hain. Beron Mumlikat se takriban 20 lakh aur androon cotesbach Mulk se lag bhag 5 laakh afraad hajj ki Saadat haasil karne ke liye masjid al haram ka rukh karte hain. Shadeed asdhaam ko qaboo karna bada challenge hai. Hajjaaj mein buzurag memaar afraad, khawateen, mareez, mazoor aur bachay sabhi shaamil hotay hain. Security forces ki zimma daari hoti hai ke woh aman o Amaan ko yakeeni banaye rakhen. Mecca Mukarrama, Madina Munawara Meena, Muzdalfah aur Arfat mein hajion ke qafilon ko munazzam karna aur rakhna bada mushkil kaam hai.