Riyasat Telangana se jumla 900 aazmin Makkah Mukramah rawana, Hajj House mein lalbaik allahumma lalbaik ki goonj.
Hyderabad. Riyasat ke 300 aazmin par mushtamil aazmin Hajj ke teesray qaafla ko aaj shaam Deputy Chief Minister janab Mohammad Mahmood Ali ‘ wazeer e dakhla janab N Narsimha Reddy’ Musheer Aqliati Behbood janab A K Khan ney Hajj House se rooh parwar manzar aur Labbaik ki sadaaon ki goonj mein suye Haram vidaa kya. Is mauqa par Sadarnashin Telangana Stat Hajj Committee janab Mohammad Masihullah Khan Sadarnashin Telangana Waqf Board janab Mohammad Saleem MLC’ Secretary mahkuma Aqliati Behbood janab M.Dana Kishore, Telangana stat Hajj committee professor S. A. Shukur’ arkaan Hajj Committee janab Mohammad Arif Ahmed ” janab M.A. Shafi, janab Abu Talah Amjad, janab Mohammad Imtiaz Khan, Mohammad Arifuddin rukn Waqf Board janab M.A. Waheed Khan waqf aur dosray maujood thay. janab Mohammad Mahmood Ali ney aazmin e Hajj ko vidaa karte hue un se Mulk o Qoum aur riyasat ki taraqqi o khushhali aur Chief Minster ki sahet o darazi umar ki dua karne ki khwahish ki aur kaha ke hukoomat Telangana samaaj ke deegar tabqaat ke sath sath Aqliton khusosan Musalmanoon ki taraqqi ke liye koshan hain. Shadi Mubarak, Scholarship aur Urdu zabaan ki taraqqi o tarweej aur Hujjaj ki falah o behbood se un ko gehri dilchaspi hai aur woh is talluq se khusoosi iqdamaat kar rahay hain. Janab NNarsimha Reddy ney Hujjaj karaam ko un ke azm safar par mubarakbaad paish ki aur kaha ke woh aik muqaddas safar par jarahay hain aur Allah un ki duayen qubool karta hai is liye woh watan ki khushhali aur aman o amaan ke liye dua karen. Sadarnashin Hajj committee janab Mohammad Mashullah Khan ney kaha ke Hajj committee Hajion ki khidmat mein masroof hai agar koi kotahi hai to is ko door kya jayega. . Khushii ki baat hai ke Hyderabad Embarcation Pointe number one hai. Janab Mohammad Saleem ney dua ki ke aazmin, Allah ki hifazat mein jayen aur Allah ki hifazat mein kheriyat ke sath wapas ayen. Whatsapp, selfie aur photos mein dil na lagayen balkay Allah se lau lagayen. Secretary mhkuma aqliati bahbood janab M Dana Kishore ney kaha ke unhon ney Makkah Mukramah aur Madinah Munawwara ke baarey mein bohat kuch suna hai aur woh Hajion se khwahish karte hain ke woh qoum aur riyasat ke liye duayen karen. Special Officer Prof. S. A. Shukoor ney kaha ke Hajj Committee ki janib se aazmin ki bhalai aur un ki dekh bhaal ke liye munasib iqdamaat kiye jatay hain, aur is kaam mein mukhtalif mahkumon ka taawun haasil rehta hai. Maulana Inaam ur Rehman Jameel ney dosray qaafla ke aazmin se khitaab karte hue kaha ke Rasool Allah pbuh ney Maidan Arfat mein ummation ki mughfirat ki dua farmai hai yeh duaon ka safar hai is liye jitni hosakay duayen karte rahen. Maulana Dr. Sheikh Mohammad Abdul Ghafoor ney teesray qaafla ke aazmin ko mukhatib karte hue un ko mufeed mashwaron aur duaon se nawaza. Safaid Ahram mein malboos aazmin insani masawaat ka aisa mutasir kin muzahira kar rahay they jo aam halaat mein dekhnay mein nahi aata. Rishtadaa ray aur ahbaab aankhon mein ansoo aur lab par duaon ke sath un ko vidaa karne ke liye Hajj House mein jama hue they. Kal shab 10:30 bajey se Hujjaj karaam ki Airport muntaqili shuru hui raat 2:00 bajey doosri fllight ney udaan bhari. Kal shab Hajj House mein pehli bus ko Sadarnashin Hajj Committee janab Mohammad Masihullah Khan, Sadarnashin Waqf Board janab Mohammad Saleem MLC Sadarnashin Telangana State Aqliati Commission janab Mohammad Qamaruddin, Special Officer Hajj committee Prof.S. A. Shukoor, arkaan Hajj committee janab Mohammad Arif Ahmed , janab M.A. Shafi , janab Abu Talah Amjad, janab Mohammad imtiaz Khan ‘ janab Mohammad Arifuddin ke alawa janab Mohammad Jahangir Janab Arshad Khan aur dosaron ney jhandi dikha kar vidaa kya. aaj tak teen flights ke zareya jumla 900 aazmin Makkah Mukramah ke liye rawana ho chukay hain. Do flights ke aazmin Jeddah mein utar kar busoon ke zareya Makkah Mukramah mein apni rahaish gaahon ko pounchanay ke baad Umrah ki saadat se sarfraz bhi ho chukay hain.