Monday, April 21, 2025
HomeSliderAazmeen Hajj ki raqomat wapas karne ka faisla, Tareeqakar ka anqareeb elaan

Aazmeen Hajj ki raqomat wapas karne ka faisla, Tareeqakar ka anqareeb elaan

Riyadh: Saudi wazeer Hajj o Umrah Dr Muhammad Saleh Benten ne kaha hai ke is saal sirf Saudi shehri aur Iqama holdar hi Hajj ada karen ge. Tarjuman ne kaha ke corona waba ke khatraat se bachney ke liye Saudi hukoomat ne bairooni mumalik ke Hujjaj ki maizbani se moazrat ki hai.

Wizarat mazhabi umoor ne nai sorat e haal ke tehat hungami ijlaas talabb kiya hai taakay Aazmin Hajj ki raqum ki wapsi se mutaliq tareeqakar waza kiya jaye ga. Saudi Arab ki hukoomat ne rawan baras coronavirus ke pesh e nazar Hajj ke sherka ki tadaad mehdood rakhnay aur sirf saltanat mein muqeem afraad ko Hajj karne ki ijazat dene ka ilaan kiya hai. 

Saudi khabar rasan idaray SPA ke mutabiq guzashta shab Saudi wizarat Hajj o Umrah ki janib se jari kardah bayan mein kaha gaya hai ke duniya ke 180 se zayed mumalik mein coronavirus ki waba ke phelao ke pesh e nazar mehdood tadaad mein saltanat mein muqeem mukhtalif mumalik ke shehrioun ko Hajj ka mauqa diya jaye ga. Jabkay Saudi Arab ki wizarat kharja ki janib se Twitter par bhi Saudi wizarat Hajj o Umrah ke is faislay ke mutaliq aagah kiya gaya.

Saudi wizarat Hajj o Umrah ne bayan mein mazeed kaha ke coronavirus ke baais duniya bhar mein 5 lakh ke qareeb amwaat ho chuki hain aur 70 lakh se zayed afraad is virus se mutasir hain. Corona ki waba aur rozana aalmi satah par is virus ke mutasireen ki tadaad mein izafay ke pesh-e-nazar ye tay kiya gaya hai ke rawan baras 1441 ke Hajj mein Saudi saltanat mein muqeem mukhtalif mumalik ke aazmin ko mehdood tadaad mein shareek kiya jaye ga.

Saudi wizarat Hajj o Umrah ke bayan mein mazeed kaha gaya ke ye faisla is bunyaad par kiya gaya hai ke Hajj mehfooz aur sahet mand mahol mein ho. Corona se bachao ke takazey pooray kiye jayen, Aazmin Hajj ki hifazat aur salamti ko yakeeni bananay ke liye samaji faasla barqarar rakha ja sakay aur insani jaan ke tahaffuz se mutaliq Islami shariat ke maqasid pooray kiye ja saken. COVID-19 ka phelao roknay ke liye Saudi hukoomat ney is se qabal apne muqaddas maqamat par Umrah ki adaigi bhi moattal kar di thi.

Wazeh rahay ke Saudi Arab mein coronavirus ke baais 1300 se zayed afraad halaak ho chuke hain jabkay mutasireen ki tadaad 1 lakh 61 hazaar se zayed hai. Saudi hukoomat ne corona ke baais lockdown bhi 22 June se khatam kar diya hai jis ke baad maloomat zindagi bahaal ho gaye hain.

Ab jab ke Saudi Arab ne coronavirus ke pesh-e-nazar rawan baras Hajj ko mehdood karte huve sirf mulk mein muqeem ghair mulkioun ko Hajj karne ki ijazat di hai wahein maazi mein kayi ek wajohaat ki bana par Hajj mansookh kiya gaya tha.