Monday, April 21, 2025
HomeSermonsAazmeen Hajj ki khidmat ke liye 14 hazar ahelkaar aur chaar sau...

Aazmeen Hajj ki khidmat ke liye 14 hazar ahelkaar aur chaar sau gaadiyan mamoor

Ayyaam e Tashreeq mein majmoyi taur par aik million se zayed aazmeen Hajj al-Mashayer train se safar kar saken ge. Mashayer mein 36 hazaar hungami ghusal Khanoon ka ihtimaam. Mashayer Muqaddisa mein 600 water tanks nasb. Hajj 1439h ke Operational Plan ki tafseelaat jari.

Khadim ul Harmain al Sharifain ke musheer, Makkah Moazimma ke Governor aur Makkah Development Authority ke Chairman Shehzada Khalid Alfaisal ne Hajj 1439h ke Operational Plan ka elaan kardiya hai. Rawaan saal Hajj ke mauqa par duniya bhar se aaye aazmeen Hajj ki khidmat par 14 hazaar ahelkaar aur 400 gadiyaan mukhtas ki gayi hain. Hajj Operational Plan ke elaan ka maqsad Hajj ke hawala se tayyar kardah mansoobon ko amli shakal mein lana aur un ki kaarkardagi se istifaada karna hai. Hajj operation Plan ki nigrani Mashayer Muqaddisa Authority ko sonpi gayi hai. Is mein Mashayer Muqaddisa train, Aljamraat tansibaat, sewerage, taharat khaanoon ka qiyam aur pani ki farahmi, Hujjaj Baitullah ko pani pilanay ka mansoobah, Hajj services ki karkardagi behtar bananay ke liye deegar khidmaat shaamil hain. Hajj Operational Plan ki nigran Authority ke tarjuman engineer Jalal bin Abduljlil Kaaki ne aik bayan mein kaha ke Hujjaj karaam ko behtar saholaten faraham karne ka mansoobah Governor Makkah ki zair e nigrani robah amal hai. Governor Makkah aur un ke naib Hajj se mutaliq services ki barah e raast nigrani kar rahay hain. Aik sawal ke jawab mein engineer Kaaki ne kaha ke Hajj ke mauqa par intizami aur takneeki amlay sameit 14 hazaar afraad ko Hujjaj ki khidmat par mamoor kya ja raha hai jab ke Hujjaj karaam ki aamad wo raft ke liye 400 gadiyon ka bhi bandobast hai. Unhon ne kaha ke Hajj Operational mansoobay ke tehat al-Mashayer train 8th zulhaj ko Minaa se Hujjaj karaam ko Arfat, wahan se phir Mina laaye gi. yun al-Mashayer train ki madad se 3.5 lakhs Hujjaj karaam ko Arfat tak tansport ki sahoolat muhayya ki jaegi jab ke ayyaam Tashreeq mein majmoi taur par aik million se zayd aazmeen Hajj al-Mashayer train se safar kar sakenge. Hujjaj karaam ko sahoolat ke liye Mashayer mein 36,000 hungami ghusal Khanoon ka ihtimaam kya gaya hai. Hujjaj karaam ko peenay ka pani faraham karne ke liye Mashayer Muqaddisa mein 600 water tanks nasb kiye gayi hain jahan aik ghanta mein ausatan 700 cubic meter pani muhayya kya jaye ga