Riyadh: Androon Saudi Arab se aazmeen Hajj ka pehla karwan Mecca Mukaramah poanch gaya. Wizarat Hajj o Umrah ke aala ohdedaroun ne mehakma shehri hawabazi ke taawun se King Abdalaziz International Airport Jeddah par Al Qassim se anay walay aazmeen Hajj ka khermaqdam kiya.
Media ke mutabiq tamam mutaliqa idaroun ney is saal Hajj karne waloun ki khidmat ke liye intizamaa mukammal karliye. Security, Sahet aur mukhtalif idaroun ney Jamia amli programme par amal daraamad ka aaghaz kardiya.Yaad rahay ke wizarat Hajj o Umrah ney Mecca Mukaramah mein aazmin Hajj ke qiyam ke liye intizam karliya hai jahan wo Mina janey se qabal qiyam karen ge. 4 Zil Hajja se 8 Zil Hajja tak Hotel mein rahen ge. Har Azim Hajj ke liye ek ek kamrah hai. Kamray mein aab e Zam Zam ki sanitize bottels se le kar Snacks, Phalon aur mithayyon ki Biscuits sameit nashtay, Zhurane aur raat ke khanay tak ke intezamat keye gaye hai.
Darin asna Mecca Mukaramah Development Authority ne Mina, Muzdalifha aur Arfat mein Operational mansoobah jari kardiya hai. Authority ke tarjuman Jalal Kaki ne kaha hai ke hamara sara zor coronavirus se bachao ke hifazati iqdamaat par hai. Kaki ne media se guftagu karte hue kaha ke jumerat ke pall ( woh maqam jahan shaitanon ko kankariyan maari jati hain ) ki islaah o muramat aur usay istemaal karne ke tortriqon ka intizam karliya gaya hai. Tamam nizaam ka muanay karliye gaye hain.
Tarjuman ne mazeed kaha hai ke CCTV cameras ke Room mo-asar hain. Hajjion ke qafeloun ko munazzam karne aur Hajj maqamat par safai ki Schemes tayyar hain. Unhoun ne mazeed kaha ke development Authority ke Operational plan ke tehat Al Azizia aur Al Shabeen ko jumerat ke pal se jor diya gaya hai. Al Shabeen aur Al Azizia Project ke zimma daar security idaroun se raabtey mein hain.