Saturday, April 20, 2024
HomeIndiaAazmeen Hajj ke liye vaccine ke intizamaat: Naqvi

Aazmeen Hajj ke liye vaccine ke intizamaat: Naqvi

Mumbai: Markazi aqliati wazee-e-umoor Mukhtar Abbas Naqvi ne aaj kaha hai ke Hindustan se Hajj ke  liye jane walay afraad ko coronavirus ke teekay laganay ke intizamaa kiye jarahay hain. Woh junoobi Mumbai ke Hajj house mein Hajj committee of India ke ohdedaron aur Hajj group muntazmeen ke ijlaas ki sadarat ke baad woh baat kar rahay thay.

Unhon ne kaha hai ke hajj 2021 ke liye darkhwast form jama karwanay ki aakhri tareekh 10 January hai. Unhon ne mazeed kaha ke har Haaji ke safar ke douran akhrajat aur takhmina laagat kam kardi gayi hai. Naqvi ne kaha ke ab tak jumla darkhwast dahindgaan mein 50% ke qareeb khawateen hain aur 700 se zayed khawateen ab tak baghair mehram ke (mard saathi) zamray ke tehat darkhwast day chuki hain. is zamray ke tehat 2100 se ziyada khawateen ne hajj 2020 ke liye darkhwast di thi.

Wazeer ne khawateen ke daftar se jari ek bayan mein kaha gaya hai ke yeh khawateen hajj 2021 jayengi kyunkay Hajj 2020 ke liye unke zareya bhara hua darkhwast hajj form 2021 ke liye bhi qabil-e-qubool hai. Naqvi ne kaha hai ke wabai sorat-e-haal aur Air India aur deegar agencio ke tasurat ko mad-e-nazar rakhtay hue hajj 2021 ke rawaangi ke marakaz ko kam kar ke 10 kardiya gaya hai. Un 10 maqamat mein Ahmedabad, Bangalore, kochi, Dehli, Guwahati, Hyderabad, Calcutta, Lucknow, Mumbai aur srinagar hain. Is se qabal mulk bhar mein 21 marakaz thay. Saudi Arabia Apne waqt par hoga.