Monday, September 16, 2024
HomeHyderabadAawara kuttoun ke khilaaf hukkaam ki karwaiyon mein taizi, Awam ko shikayat...

Aawara kuttoun ke khilaaf hukkaam ki karwaiyon mein taizi, Awam ko shikayat karne phone aur App ki sahoolat

Hyderabad: Greater hyderabad municipal corporation ( GHMC ) ne awam ko aawara kutton ke masail se chutkara dilwanay ke liye apni karwaiyon mein taizi paeda kardi hai aur ab kuttay pakadney ki mazeed 16 gadiyaan kiraye par haasil karli hain.

Hukkaam ke mutabiq street dog ( aawara kutton ) ki museebat par qaboo panay ke apne iqdamaat mein taizi laatay hue hyderabad ki galiyo mein kutton se peda honay walay masail ko hal karne ki taraf iqdamaat kardiye hain.

Municipal corporation abhi tak aawara kuttoun ko pakadney ke liye apni 14 gadiyaan chala rahi thi lekin un masail ko jald qaboo mein laane ke liye mojooda gariyon ke alawa municiple corporation ne kiraya ki ab mazeed 16 gadiyaan muta-arif karwai hain. Aawara kutton ko pakadney wali gadiyon ki jumla ab tadaad 30 hogayi hai. alawa azeen ek gaadi ko khusosi tour par har municipal dairay ke liye chalaya jata hai.

GHMC ke cheif veterinary officer Abdul vakeel ne kaha hai ke agarchay gadiyaan aawara kutton ke masail par qaboo panay ke iraday se muta-arif karwai gayeen lekin mausam garma ke douran aam tor par aawara kutton ke baray mein shikayaat mein izafah honay par tawajah ziyada hoti hai. Is ki bunyadi wajah garmi ke douran pani ki qillat aur khoraak ki Adam dasteyabi hai. Unhon ne kaha ziyada ahem baat yeh hai ke darja hararat mein izafah aur tez garmi ki wajah se kuttay chirchiray ho jatay hain aur baz auqaat hamla awar bhi ho jatay hain.

Kisi bhi na-khushgawaar waqeat se bachney ke liye gali ke aawara kutton ke masail par qaboo panay ki taraf bhar poor tawajah di jarahi hai. Aam tor per kuttey pakadney wali van aur hukkaam kisi ilaqay ka muaina karte hain aur kutton ko pakarte hain. Woh pehlay unka muaina karte hain ke kaanon par’ v’ nishaan dekh kar kuttoun ki nasbandi ka ilm bhi hojata hai. V ke nishaan ki mojoodgi ke baad hukkaam un kutton ko anti rabies vaccine lagatay hain aur qawaid ke mutabiq isi jagah par chode dete hain.

Har gaadi aam tor par ek din mein 10 kutton ko pakadati hai aur unke mushahdat ki bunyaad par mutaliqah hukkaam vaccine lagatay hain ya janwaron ki dekh bhaal ke marakaz ko muntaqil karte hain. GHMC help line number 040-2111-1111 ya Myghmc app par aawara kutton ke mutaliq shikayaat darj ki ja sakti.