Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadAathween Jamaat Ke Sai Charan Ki Khudkushi, Walidain Ko Khawab Ghaflat Se...

Aathween Jamaat Ke Sai Charan Ki Khudkushi, Walidain Ko Khawab Ghaflat Se Jaganay Ke Liye Kaafi

Hyderabad : School ki choti jamaatoun mein zair-e-taleem talba ki nafsiati nash-o-numa, school mein honay walay rozaanah ke halaat aur sar garmioun se auliya-e-Talba ko waaqif hona aaj ke daur mein intahi zurori hai kyunkay aaye din schooloun mein aisay waqiyat runuma ho rahay hain jis se na sirf nanhay bachay nafsiati mareez ban rahay hain balkay chand ek waqiyat mein talba khudkushi karne par bhi majboor ho rahay hain.

Ek aisa hi waqiya Hyderabad mein paish aaya hai jo ke auliya-e-talba aur walidain ko khawab-e-ghaflat se bedar karne ke liye kaafi hai jahan ek aathween jamaat ka taalib-e-ilm jamaat mein hue class leader ke intikhabaat mein mein nakami ke baad train ke samnay chhalang laga kar khudkushi karli, halaanke school teacheroun nay kaha hai ke taalib-e-ilm school mein honay walay  talba ke intikhabaat mein kamyaab hua tha aur is nay apni kamyabi par mithai bhi sathiyon mein taqseem ki thi.

Rachakonda hudood mein guzishta raat aathween jamaat ka taalib-e-ilm train ke samnay chhalang laga kar khudkushi karli. tafseelaat ke mutabiq sai Charan jo ke krishnaveni talent school mein aathween jamaat ka taalib-e-ilm tha aur jamaat ke leader ke intikhab ke liye talba mein raye dahi ki gayi thi. classe leader ke intikhab mein sai Charan ka muqaabla saathi jamaat ki ek Taliba se tha jis ke khilaaf usay shikast hui aur is shikast ko bardasht nah karte hue is nay school ki chutti ke baad train ke samnay chhalang laga kar khudkushi karli.

Doosri janib school intezamia nay daawa kiya hai ke sai Charan nah sirf intikhabaat mein kamyabi haasil ki thi balkay is nay apni is kamyabi par sathiyon ke sath kamyabi ka jashnn mananay ke alawa mithaiyan bhi taqseem ki theen. alawa azeen teacher nay Sai Charan ki khudkushi ka tazkara karte hue kaha ke school mein class leader ke intikhabaat mein shikast iski khud kashi ki wajah nahi ho sakti balkay ho sakta hai ke gharelu koi tanaza raha ho jis ki wajah se Sai Charan nay khudkushi karli. waqiya ke baad Sai Charan ke afraad-e-khandan nay ek shikayat darj ki jis par police nay muqadma darj karte hue waqia ki tehqiqaat ka aaghaz kardiya hai. –YTN STAFF