Saturday, April 20, 2024
HomeHyderabadAap ki poori nasal khatam hojayegi lekin Hyderabad ka naam barqarar rahayga...

Aap ki poori nasal khatam hojayegi lekin Hyderabad ka naam barqarar rahayga : Owaisi

Hyderabad : Yogi adtiyanath ke Hyderabad ka naam Bhagyanagar rakhnay ke mutanazia bayan ka jawab dete hue AIMIM ke sarbarah Asaduddin Owaisi  ne kaha ke Uttar pradesh ke chief minister ki nasal khatam hosakti hai lekin is shehar ko Hyderabad ke naam se hi puraka jayega. Yogi ne hafta ke roz baldeati intikhabaat se qabal Hyderabad ke Malkajgiri ilaqay mein ek mega road show ke douran kaha tha ke agar Telangana mein BJP ko Iqtidaar mein vote diya gaya to is shehar ka naam Bhagyanagar rakha jayega.

Yogi ne kaha ke Uttar pradesh mein BJP ke Iqtidaar mein anay ke baad hum ne Faizabad ka naam Ayodhya aur Allahabad ka naam prayagraj rakh diya. Phir hyderabad ka naam Bhagyanagar kyun nahi rakha jasakta? Yogi ne is bayan par Owaisi  ka shadeed rad-e-amal samnay aaya jis mein unhon ne kaha aap ki poori nasal khatam hojayegi lekin hyderabad ka naam hyderabad hi rahayga.

Intikhabaat Hyderabad aur Bhagyanagar ke darmiyan hain, aur agar aap chahtay hain ke hyderabad ka naam tabdeel nahi kiya jaye to majlis ko vote den. AIMIM ke sarbarah ne ye baat GHMC intikhabaat mein hissa lainay ke liye apni party ke liye intikhabi muhim chillate hue kahi. Owaisi  ne mazeed kaha ke woh naam tabdeel karna chahtay hain. woh ( BJP ) har cheez ka naam tabdeel karna chahtay hain. aapka naam tabdeel kardiya jayega lekin hyderabad ka naam tabdeel nahi kiya jayega. Uttar pradesh ke cheif minister yahan aaye aur kehte hain ke woh ( Hyderabad ) ka naam tabdeel karenge. Owaisi  ne awam se mazeed kaha ye hyderabad ke intikhabaat ki tarhan nahi lagtay, aisa lagta hai jaisay hum Narinder modi ki jagah Wazeer e Azam ka intikhab kar rahay hain. Mein kaarvaan mein ek rally mein tha aur kaha tha ke sab ko yahan bulaya gaya hai, ek bachay ne kaha inhen trump ko bhi bulaa lena chahiye tha. woh theek kehte thay, sirf trump ( Amrici sadar Donald trmp ) reh gaye hain.

Hyderabad mein baldeati intikhabaat riyasat mein hukmaran jamaat Telangana rashtriya samiti ( TRS ), AIMIM aur BJP ke mabain seh rukhi muqaabla dekhnay ko mil rahay hain, haal hi mein BJP ne Dubbak assembly seat haasil ki. BJP shehar mein intikhabi muhim chala rahi hai aur is ne mutadid bade rehnumao ko Hyderabad mein utara hai. Uttar pardesh ke chief minister ke alawa, markazi wazraa prakash javadekar, smriti irani neez party ke sadar JP nadda ne hyderabad mein BJP ke liye intikhabi muhim chalaye hai.

Uskay alawa wazeer e dakhla Amit Shah bhi Hyderabad ko dora kar chukay hain. GHMC ke 150 rukni membron ke liye intikhabaat 1st decemeber ko honay hain aur voton ki ginti 4 Decemeber ko hogi.