Friday, May 17, 2024
HomeSliderAamir Qutub Ko Australia Mein Award, Noujawanoun Ke Liye Mashal Raah

Aamir Qutub Ko Australia Mein Award, Noujawanoun Ke Liye Mashal Raah

Canberra : Hindustaniyoun ne apni salahiyaton aur apne hunar ke zareya berooni mumulk apna aur apne mulk ka naam roshan kiya hai aur is fehrist mein ab ek aur baab ka izafah huwa hai jaisa ke hindustani noujawan Tajir Aamir qutub ne Australia mein global business excellence award ke young Entrepreneur award jeet kar apne mulk ka naam roshan kiya hai. Aamir qutub ki kamyabi un nojawanon ke liye Mashal raah hai jo apne dam par kuch karne ki tamanna rakhtay hain.

Global business Excellence award saal 1986 mein qaim honay walay Gelang chamber of commerce ki taraf se diya jata hai aur Australia mein diya jaaney wala kalidi tijarti aizaz hai. Evlon airport ke CEO ne business leader of the air ka award haasil kiya hai jabkay Aamir qutub ko young Entrepreneur of the air ka award diya gaya hai.

Wazeh rahay ke Aamir qutub digital solution company emterprises manki ke baani aur CEO hain. Aamir Australia ke planning ministry ki ministerial advisory committee ke rukan bhi hain. inhen mehez 25 saal ki Umar mein ICT Gelang ka general ager muqarrar kiya gaya tha. Aamir Australia ki sab se badi regional take conference pivot simat ke baani secretary bhi they.

Aamir Ali garh mein paeda hue aur wahein unhon ne parwarish payi. unhon ne Ali garh muslim university se bachelor of engineering ki degree haasil ki aur 23 saal ki Umar mein deccan university se MBA ki taleem haasil ki. award haasil karne walay Aamir ne kaha ke ”Australia anay ke baad mujhe kaafi dushwariyon ka saamna karna pada. mein ne taqreeban 150 jagah office job ke liye darkhwast di lekin kahin kamyabi nah mil saki kyun ke mujhe Australia mein kaam karne ka tajurbah nahi tha. iski wajah se mere samnay guzaray ka sawal khada ho gaya. mujhe apne kharch ke liye Evlon airport par saaf safai ka kaam karna pada aur raat ke waqt mein akhbar banta karta tha.

Aakhir-kaar saal 2012 mein Aamir ko ICT gelang se internship karne ka mauqa mila. Aamir ki zahanat, qabliyat aur unki behtareen karkardagi ko dekhte hue company ke board ne inhen 25 saal ki Umar mein general manager ka ohda dainay ki paish kash ki. is se qabal apne taleem ke dinon mein Aamir saal 2011 mein Ali garh muslim university ki talba tanzeem ke general secretary muntakhib hue. Aamir ne apni muddat car mein AMU mein pehli martaba ek placement drive ka ineqad karaya jis mein 2000 talba ko 30 companiyon ne mulazmat faraham ki. Aamir ki technology mein dilchaspi ke nateeja mein AMU mein free Wifi ki khidmat aur smart classes muta-arif karai gayeen.

Saal 2014 mein Aamir ne apne behnoi ke garage mein web and app company’ enterprises manki’ ka qiyam kya. Aamir ne kaha ke unhon ne mehez 2000 dollar se kaam shuru kiya tha aur teen saal ke andar company ko chaar mumalik mein pouncha diya. is douran company ki sharah taraqqi 300 feesad rahi. –YTN STAFF