Thursday, April 25, 2024
HomeHyderabadAam Aamraaz ke ilaaj ke liye awam ka bastii dawakhanoun par inhesar

Aam Aamraaz ke ilaaj ke liye awam ka bastii dawakhanoun par inhesar

Hyderabad: Calcutta ke rehne walay B Ratan jo Hyderabad sheher ke ek Hotel mein Chef ki hesiyat se kaam karte hain un ko jild ki Allergy peda huvi aur ab Lockdown ki wajah se ziyada tar dawakhanoun mein bairooni mareezoun ki khidmaat dastyab nahi hain jis ki wajah se wo kaafi pareshan hai inhen ab ilaaj ke liye kahan jana hai. Is mushkil waqt mein jab is ka dost usay basheerbagh ke Phoolbagh mein bastii dawakhana le gaya to ratan ko kuch raahat mili kyunkay is bastii dawakhane mein usay duwaein faraham karne ke ilawa ilaaj bhi sab muft mein kiya gaya.

Mojooda Lockdown ke douran, Bastii dawakhane sahet ki dekh bhaal ki khidmaat ko badhaane mein ahem kirdaar ada kar rahi hain aur khaas tor par kachi aabadyoun aur kam aamdani wali bastiyoun mein bohat saaray logoun ke khauf ko bhi khatam kar rahay hain. Bukhaar aur khansi honay ke baad ghabranay walay chand afraad, Phoolbagh dawakhane se rujoo honay walay afraad mein shaamil they. Phoolbagh dawakhane se talluq rakhnay wali Dr Zohrah Iram ne kaha hai ke mushawarat aur aam ilaaj ke baad, Un ka khauf khatam hogaya hai aur ab wo khush hain.

Dr Iram ne mazeed kaha ke tamam bastii dawakhanoun ka amlah mareezoun ki safri tareekh aur tafseelaat, Khaas tor par tariken watan kaarkunoun aur degar riyasatoun se wapas anay waloun ke sath un ke qareebi afraad ki jaanch kar raha hai. Agar un mein kisi ko koi wazeh alamat mojood zahir hoti hai to aisay logoun ko foran hi Gandhi Hospital ya Fever Hospital bhaij diya jata hai. Bastii dawakhane subah 9 bajey se shaam 5 bajey tak kaam kar rahay hain aur kuch ilaqoun mein shaam ke Cilinic bhi chalaye jarahay hain, Jo rahaishioun ke mutalbe par munhiser hai. Sabhi loog khangi bastii dawakhane mein janay ka muthammil nahi ho saktay hain aur baghair naqal o hamal ke bohat se loog bastii dawakhanoun ke paas ja rahay hain. Mazeed ahem baat ye hai ke Urban Primary Health Center ( UPHC ) se wabsta Aisa karkunaan aur Auxiliary Nurse Midwifery ( ANM ) mazdooroun aur tamerati kaarkunoun ke campoun ka dora kar rahay hain aur in ki sahet ki sorat e haal ki jaanch padtaal ke ilawa kachi abadiyoun aur Colonies ka bhi dora kar rahay hain.

Is waqt GHMC ki hudood mein Hyderabad, Medchal aur Ranga Reddy azlaa par muheet 124 bastii dawakhanoun kaam kar rahay hain. Wo apni khidmaat ka ek Package faraham kar rahay hain aur muashray aur sehat ke nizaam ke mabain muahiday ke pehlay nuqta ke tor par khidmat anjaam day rahay hain. Wo qareeb tareen UPHC se munsalik hain. Ostan 70 se 80 afrad ruzana bastii dawakhanoun jatay hain. Bohat saaray Clinic khansi, Nazla aur yahan tak ke ishaal se mutaliq mamlaat darj kar rahay hain. Taham, Lockdown ki wajah se, Kuch khaas adwiyaat ki dasteyabi mein waqt lag raha hai kyunkay un ki waqt par farahmi mein naqal o hamal ki rukawat ek Challenge hai. –YTN STAFF