Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaAam Aadmi Party ne tamam umeedwaroun ka kiya elaan, 9 baahiri logoun...

Aam Aadmi Party ne tamam umeedwaroun ka kiya elaan, 9 baahiri logoun ko diya ticket

New Delhi: Aam Aadmi Party 8 February mangal ko munaqqid ho rahay, Delhi Assembly intikhabaat ke liye apne tamam 70 umeedwaroun ka elaan kar diya hai. Jabkay party ne 46 mojooda arkaan Assembly ko dobarah maidan mein utaarnay ka faisla kiya hai, Wahein 15 arkaan Assembly ke ticket bhi katay gaye hain. Party ne majmoi tor par 24 naye cheharoun ko shaamil kiya hai, Jin mein 2019 mein munaqidah Lok Sabha intikhabaat ke nakaam umeed waar Atishi, Dilip Pande aur Raghav Chadha shaamil hain. Un ke ilawa 9 ummedwar aise hain, Jin ko doosri partiyoun se Aam Aadmi Party mein shaamil karkay ticket diya gaya hai.

dhanwati chandela, jo congress mein then, Un ko Aam Aadmi Party ne  Rajouri Garden Assembly seat se apna umeed waar naamzad kiya hai. Peer ko hi congress party chode kar Aam Aadmi Party mein shaamil hui Rajkumari Dhillon ko party ne Hari Nagar se umeed waar bananay ka faisla kiya hai. Guzashta haftay congress chod kar Aam Aadmi Party mein shaamil honay walay 5 baar ke rukan Assembly Shoeb Iqbal ko  Matia Mahal se umeed waar banaya gaya hai. Badarpur se 2 baar rukan Assembly rahay congress rehnuma Ram Singh Netaji ko party ne Badarpur se intikhabi maidan mein utaara hai.

Maghribi Delhi se sabiq congress rukan parliament Mahabal Mishra ke betay Vinay Mishra peer ko hi Aam Aadmi Party mein shaamil hue they. Un ke konbe ki 3 naslen congress se wabsta rahen. Inhen Gandhi Nagar se maidan mein utaara gaya hai. Bahujan Samaj Party se Aam Aadmi Party mein shaamil honay walay Jai Bhagwan Upkar ko huwana se ticket diya gaya hai.

Aam Aadmi Party ne Chandni Chowk se congress party ke 4 bar ke rukan Assembly  Parlad Singh Sawhney ko umeed waar banaya hai, Jabkay BJP ke sabiq rukan Assembly choudhri Surendra Kumar ko Gokalpur  se ticket diya gaya hai. Aam Aadmi Party political Affairs committee ke zareya jari kardah fehrist mein 8 khatoon umeedwaroun ko bhi mauqa diya gaya hai

8 feb ko honay walay Assembly intikhabaat ke baray mein notification mangal ko jari kiya gaya tha aur namzadgi ka amal bhi shuru ho chuka hai. BJP aur congress ne abhi tak apne card zahir nahi kiye hain. Timarpur ke rukan Assembly Pankaj Pushkar, Jinhoun 2015 ke intikhabaat mein kul vote ka 51.05 feesad haasil karkay kamyabi haasil ki thi, Un ki jagah Aam Aadmi Party ne 2019 ke Lok Sabha intikhabaat mein nakaam umeed waar Dilip Pandey ko umeed waar banaya gaya hai. 2015 mein Bawana  se 45.39 feesad vote leker jeetnay walay Ram Chander ki jagah BSP ke sabiq councillor Jai Bhagwan Upkar ko umeed waar banaya gaya hai, Jo peer ko party mein shaamil hue they. Mundka  ke rukan Assembly Sukhbir Dalal, Jo 2015 mein

57.22 feesad vote le kar kamyaab hue they, Un ko bhi bahar kar diya gaya hai aur Dharampal Lakra, Jo 2014 Mundka ke sabiq congress rehnuma they aur party mein shaamil hue they. Un ko bhi umeed waar banaya gaya hai.

July 2019 mein Aam Aadmi Party mein shaamil honay walay dalit karkun Raj Kumar Anand, Patel Nagar ke rukan Assembly Hazari Lal Chauhan ki jagah li hai, Jo 2015 mein 59.05 feesad votoun se kamyaab hue they. Hari Nagar halqa se, Peer ko party mein shaamil honay wali congress ki sabiq rehnuma Rajkumari Dhillon ne, Yahan ke rukan Assembly Jagdeep Singh ki jagah li, Jo 58.42 feesad votoun se kamyaab hue they.

Sabiq wazeer aazam Lal Bahadur Shastri ke pote Adarsh Shastri ne 2015 mein Dwarka seat par 59.08 feesad voton se kamyabi haasil ki thi, Lekin is baar inhen hata diya gaya hai. Un ki jagah par Aam Aadmi party ne congress ke sabiq rukan parliament Mahabal Mishra ke betay Viney Kumar Mishra ko maidan mein utaara hai, Jo peer ke roz mutadid rehnumao ke sath party mein shaamil hue they.

Sabiq fouji Surinder Singh ne Delhi Chaoni se 2015 ke intikhabaat mein 51.82 feesad votoun ke sath kamyabi haasil ki thi. Un ki jagah hindustani fazaiya ke sabiq Sergeant aur Virender Singh Kadian ne liya hai, Jo shuru se hi party ke sath they. Ek aur nakaam Lok Sabha umeed waar Raghav Chadha ne Rajinder  Nagar halqa mein Vijender Garg ki jagah li hai. Garg ne 2015 ke intikhabaat mein 54.39 feesad votoun se kamyabi haasil ki thi.

Kalkaji set 51.72 feesad vote laiker jeetnay walay Avtar Singh ki jagah 2019 Lok Sabha ke umeed waar Atishi ne li hai, Jo Aam Aadmi Party ki taleemi islahat se judey they. Sabiq Congress aur Badarpur se 2 baar ke rukan Assembly jo peer ko Aam Aadmi Party mein shaamil hue, Ram singh Netaji, Badarpur ke rukan Assembly  N.D Sharma ki jagah li hai, Jinhoun ne 2015 mein 59.3 feesad vote haasil kiye they.

Trilokpuri se, Mojooda rukan Assembly Raju Dhingan, Jinhoun ne 2015 mein 58.62 feesad vote hasil karkay jeet haasil ki thi. Ko party ke Rohit Kumar Mehraulia ki jagah umeed waar banaya gaya hai. Mashriqi Delhi ke Seelampur se talluq rakhnay walay MCD faateh Abdul Rehman ko bhi ticket diya gaya hai, unhoun ne haji ishraaq ki jagah li hai jinhoun ne 2015 mein 51.26 feesad voton ke sath kamyabi haasil ki thi.

Gokalpur mein, BJP ke sabiq rehnuma Surendra Kumar, Jinhoun ne October 2019 mein Aam Aadmi Party mein shamoliat ikhtiyar ki thi, Ne Fateh Singh ki jagah li hai, Jinhoun ne 48.71 feesad vote haasil kiye they. Sabiqa congress rukan Shoaib Iqbal , Jo mukhtalif jamaatoun se Matia Mahal  se 5 baar ke rukan Assembly reh chuke hain aur 9 January ko Aam Aadmi Party mein shaamil hue, Is halqay se election ladhinge.

Aam Aadmi Party ke Asim Ahmed Khan ne 2015 mein Iqbal ki kamyabi ka silsila toda, Jab unhoun ne 59.23 feesad vote haasil karkay kamyabi haasil ki. 15 arakeen Assembly ki jagah party ne naye umeed waar khaday kiye hain. Aam Aadmi Party ne August 2019 se apne 5 arkaan Assembly ko bhi na ahal qarar diya. –YTN STAFF