Monday, May 20, 2024
HomeIndiaAam Aadmi Party ki kamyabi se kiya musalmanoun ko faida hoga

Aam Aadmi Party ki kamyabi se kiya musalmanoun ko faida hoga

New Delhi: Hindustan ki tareekh mein Delhi Assembly intikhabaat ko shayad kabhi itni ahmiyat nahi di gayi thi jitne ahem wo is martaba ho chukay hain. Sirf Hindustan ki hi nahi balkay saari duniya ki nazrain Delhi Assembly intikhabaat mein tiki huvi hain jahan 8 Feb ko Chief Minister ke intikhabaat ke liye raye dahi hogi aur 11 Feb ko nataij bhi ajayeen ge. Delhi intikhabaat ke liye jahan Aam Aadmi Party ne apni karkardagi ko pesh karne ke liye alawa BJP ko tanqeed ka nishana banaya wahein BJP ne Shaheen Bagh ko mauzo banatay hue phir ek martaba taasub aur firqa parasti ki gandi siyasat kheli hai.

Waisay to kisi bhi jamhoori mulk mein sab se achaa intikhab wo hota hai jis mein raye dahindgaan achay umeed waar aur achi party ka intikhab karen lekin is ko bad qismati hi kahin ge ke duniya ki doosri sab se badi jamhoriat mein un eqdaar par amal nahi kiya jata aur loog umeed waar muntakhib karte waqt apni wafadaari, Taluqaat, Tabqati, mazhabi aur masleki qurbat ko ziyada ahmiyat dete hain. Delhi Assembly ke intikhabaat mein bhi isi terhan ke rujhanaat nazar aeye hain aur ye bhi is liye kehnay par majboor hona padh raha hai ke kyunkay jin alaqoun ka dora karte hue wahan raye dahindgaan se izhaar khayaal jan-nay ki koshish ki gayi to unhoun ne bohat saaf alfaaz mein kaha ke umeed waar to bohat kharab hai lekin hum to qayed ko vote day rahay hain, Hum to apne ko vote day rahay hain, Party bohat achi hai lekin hum is ko vote nahi day satke, Kyunkay hamari is se qurbat nahi hai. Jab mulk ki taleem yafta Delhi mein un bunyadoun par voter apne liye umeed waar muntakhib kere ga to jamhoriat ke mustakbil par sawal uthnay laazmi hain.

Jaisay mulk ke budget ki ahmiyat khatam hoti ja rahi hai kyunkay pooray saal muashi policy mein tabdeeli hoti rehti hai, Waisay hi ab party ke intikhabi manshoor ki bhi ahmiyat khatam hoti ja rahi hai. Delhi ki barsar iqtidaar party ney to apna manshoor hi voting se 5 din pehlay jari kiya aur manshoor jari karte waqt kisi sahafi ke kisi sawal ko ahmiyat nahi di gayi. 70 saal tak hukoomat karne wali party ney Lok Sabha intikhabaat mein bhi aur Assembly intikhabaat mein bhi bohat mehnat ki lekin jaisay lok Sabha mein insaaf Balakot ke hamla mein dab gaya tha waisay hi Shaheen Bagh ke shore mein be rozgari bhatta bhi dab kar reh gaya. BJP ke intikhabi manshoor mein jo kuch kaha gaya is ka khud BJP ney zikar nahi kiya aur party ke har rehnuma ney bas baat ki to Shaheen Bagh aur musalmanoun ki baat ki hai.

Jis terhan America mein 2 baday media ghadane Fox aur CNN allag allag party line par munqasim nazar atay hain waisa hi kuch haal hindustani media ka bhi hai. Jahan ek makhsoos tabqa sirf Zee aur Republic TV ko muqaddas samjhta hai wahein dosra tabqa NDTV ki khabroun ki kasmain khata hai. Aisay mein sahih ko sahih kehnay aur likhnay ka rujhan khatam ho raha hai aur apne ko sahih aur mukhalif ko ghalat kehnay ka rujhan badh raha hai. Shaori ya laa shaori tor par kuch aisa hi ho raha hai.

Un intikhabaat ke nataij kuch bhi ayen aur koi bhi party iqtidaar mein aeye lekin ye nataij mulk ki jamhoriat ke liye buri khabar hi le kar ayen ge. Azad khayaal aur mulk ki khaufzadah aqlitien jahan ye duayen maang rahi hain ke shehriat tarmeemi qanoon laane wali hukoomat ki party un intikhabaat mein shikast se do chaar ho aur agar un ki duayen qubool bhi hogai to bhi un ke liye achi khabar nahi hai kyunkay BJP ko shikast dainay wali party wo hogi jis ney is ladai mein jeetnay ke liye nah sirf samjhote aur maslehat se kaam liya hai balkay khud ko is ladai mein itna daur rakha hai ke jab JNU mein mobayyana ABVP ke naqaab poshoun ne talba ku tashadud ka shikaar banaya tab bhi unhoun ney par asaraar khamoshi ikhtiyar ki thi

Agar shehriat tarmeemi qanoon bananay wali firqa parast jamaat Shaheen Bagh ke naam par barsar iqtidaar ajati hai to phir jamhoriat aur mulk ki aqlitoun ki nah sirf shikast hogi balkay wo mazeed mayoosi ka shikaar ho jayen ge. Dono sooratoun mein jamhoriat ke bunyadi takazoon se samjhota aur aqlitoun se doori ka faida samnay aeye ga jo is mulk ki aqliat aur aksariyat mein mazeed faasla bhedhaye ga kyunkay siyasi partiyoun ko ye nataij pegham dainay mein kamyaab rahen ge ke ab mulk ki aqlitien aur un ke masail intikhabi siyasat ke liye achhout hogaye hain aur bohat mumkin hai ke jo siyasi partiyan jamhoriat aur aqlitoun ki fikar karti aaj nazar aa rahi hain wo shikast ki soorat mein khud ko un se daur karkay ye faisla karne par majaboor ho jayen ke un ke liye ab aqlitoun ke masail se doori ikhtiyar karne mein hi behtari hai.

Muslim danishwaroun ki aqlitoun ke masail se doori aur ulma ki siyasi be shaori o khauf ki wajah se aqlitoun ke samnay koi intikhabi hikmat e amli nahi hai jis ki wajah se khauf ke saaye mein jee rahay raye dahindgaan ke zehen mein sirf ye hai ke vote takseem nah ho jayen, Kahin BJP barsar iqtidaar nah aajay. Yani qayadat ke adam fuqdaan, jazbaat aur khauf ki wajah se aqliat baghair soochey samjhay apne hamdard aur dushman mein tafreeq karne mein nakaam rahi aur is gadhay mein girgaee. Mulk ki aqlitoun ke liye aur mulk ki jamhoriat ke liye anay walay din intahi takleef da honay walay hain.

Delhi intikhabaat ke nataij kya hon ge is se qata nazar dar-ul-hukoomat ki Assembly ke liye ki jaany walay raye dahi ke nataij Hindsutan aur uskay jamhoori eqdaar ke liye ek nai raah mutayyan karen ge. Shaheen Bagh mein na muwafiq halaat ke bajod kalay qanoon ke khilaaf kayi mahinoun se saraapaa ehtijaj karne walay secular Hindustanyoun ke azaim aur hosla Delhi intikhabaat se munsalik ho chukay hain. –YTN STAFF