Saturday, May 18, 2024
HomeSliderAalmi Championship mein sonay ka Tamgha jeet kar PV Sindhu ney raqam...

Aalmi Championship mein sonay ka Tamgha jeet kar PV Sindhu ney raqam ki tareekh

Basel (Switzerland): Hindostan ki Maroof Badminton khiladi, PV Sindhu ney itwaar ke roz Japan ki Nozomi Okuhara ko yak Tarfah final mein sirf 36 minutes mein shikast day kar BWF World Championship jeet kar sonay ka tamgha apne naam kar liya aur aik tareekh raqam ki. Sath hi woh World Championship jeetnay wali pehli hindustani khiladi ban gayeen.

Pichlle do lagataar World Championship mein chandi ka tamgha jeetnay wali PV Sindhu apne josh ke sath final mein utri aur apne behtareen khel se, is ney Japan ki Okuhara ko hara diya.

Sindhu ka Aalami satah par jeeta huwa yeh Sonay Tamgha hindostan ka dosra tamgha hai, is se qabal Sai Parneet ney mardon ke singalz zamray mein kanse ka tamgha jeeta tha.

Sindhu ko 2016 ke Riva olympics mein chandi, 2017 ki aalmi championship mein chandi, 2018 ke doulat mushtarqa khelon mein chandi aur 2018 ki aalmi championship mein bhi chandi ka tamgha mila tha. Lekin unhon ney is waqt apne medal ka rang badalty huwe usay sonay ka kar diya. PV Sindhu ke aalmi championship jeet kar tareekh raqam karne par Wazeer e Aaazm Narendra Modi aur Telangana ke wazeer e aala K Chandrashekhar Rao ney mubarakbad di hai aur musarrat ka izhaar kya hai.