Friday, June 6, 2025
HomeLatest NewsAakhir kon hai, London Bridge par hamla karne wala Usman Khan

Aakhir kon hai, London Bridge par hamla karne wala Usman Khan

London: Black friday hamlay mein 2 afraad ko halaak karne wala London Bridge hamla aawar Usman Khan Bartania shehri tha, Jo Bartania mein peda huwa tha. Usman Khan ek dehshat gard mujrim tha, Jo parole par bahar aaya tha aur vahan jama hue talba aur sabiq qaidyoun par hamla kiya tha. The Tally Graph ke mutabiq, Usman Khan ne apni no umar ka kuch arsa Pakistan mein guzaarne ke bad Khan ne qabliyat na honay har School chode diya, Jahan wo apni bemaar maa ke sath rehta tha.

Ittila ke mutabiq, Bartania mein wapas anay ke baad is ne Internet par intahaa pasandi ko farogh dena shuru kiya. Aur bohat saaray logoun ko numaya tor par raghib kiya. January 2012 mein, Khan ne bartanih ke dehshat gardi Act 2006 ki khilaaf warzi karte hue dehshat gardi se mutaliq tayario mein mulawis honay ka ilzaam aed kiya tha.

Khan in 9 afraad mein shaamil tha, Jin par 2010 mein Christmas ke mauqa par London ke aala ahdaaf ko bomb se udane ki saazish ka ilzaam aed kiya gaya tha. Is waqt, Un tamam afraad ko Al-Qaeda ke hosla afzaa groupon ke tor par bayan kiya gaya tha, ju Mumbai ki tarah hamla karne ke liye mukhtalif maqamat par mail bomb bhejna chahtay they.

Giraftari ke waqt, Usman Khan wasti England ke shehar Staffordshire  mein rehta tha. Khan ko awaami tahaffuz ke liye hirasat mein kam se kam 8 saal ki muddat ke liye saza sunai gayi thi. Ye saza Bartania ke hakkaam ne awam ko is sangeen mujrimoun se bachanay ke liye tayyar ki thi.

Jis judge ne 2010 mein is case ki samaat ki thi aur Khan o deegar mujrimon ko 2013 mein saza sunai thi, Unhoun ne kaha tha ke wo apne mazhabi aaqaedku  farogh dainay mein dehshat gardi ki karwaiyoun ki himayat aur un ka irtikaab kar na chahtay hain. –YTN STAFF