Monday, April 21, 2025
HomeIndiaAaj Mujahide-e-azadi Bhagat Singh ka youm-e-paidaiesh, ahem siyasi qaideen ne pesh kiya...

Aaj Mujahide-e-azadi Bhagat Singh ka youm-e-paidaiesh, ahem siyasi qaideen ne pesh kiya kharaj

New Delhi : Naib sadar jamhooria Venkaiah Naidu aur wazeer-e-aazam Narendra Modi sameit deegar rehnumao ne hafta ko Mujahid-e-azaadi Bhagat Singh ko unke yom-e-paidaiesh par kharaaj pesh kiya.

Hindi mein aik Tweet ke zareya Venkaiah Naidu ne bhagat singh ki himmat aur mulk ki azaadi ke liye unki qurbani ko kharaaj pesh kiya. unhon ne kaha ke ”qoum ki ekjahti aur salmiyat ka tahaffuz hi inhen haqeeqi kharaaj aqeedat hoga“.

Wahein Narendra Modi ne kaha ke ”Bhagat singh ka naam bahaduri aur jaddojehad ke mutradif hai. unki Jaraimandana karwaiyan aaj bhi lakhoun afraad ko mutasir karti hain. woh noujawanoun ke liye hamesha sab se maqbool shakhsiyat rahenge. Mai mulk ke is azeem shakshiat ko unke yom-e-paidaiesh par salute pesh karta hon.

Wazeer-e-dakhla Amit Shah ne bhi tweet kiya, unhon ne kaha ke ”Bhagat singh ne poori qoum ko azaadi ki jung ki tehreek di, aur apni himmat, nazriaat aur qoum parasti se sab ke liye targheeb ka zareya banay.

Congress party ke official Twitter handle mein kaha gaya hai ke Bhagat Singh ke khwaboun se mulk ki taamer ki zimmedaari nojawanoun par aaed hoti hai, jinhein poora karne ki zaroorat hai “.

Wazeh hoke shaheed Bhagat Singh, banga ( ab Pakistan mein ) 28 September 1907 ko paida hue they. inhen Bartanwi police officer John Saunders ke qatal ke ilzaam mein saza sunai gayi thi aur march 1931 mein inhen phansi par chadhaya gaya tha. –YTN STAFF