Tuesday, October 15, 2024
HomeAjaayeb wo GaraayebAag se khakastar car nay maalik ko 30 laakh riyal ki qeemat...

Aag se khakastar car nay maalik ko 30 laakh riyal ki qeemat dladi

Riyadh : Aksar dekha jata hai ke jab koi cheez ya qeemti ashiya jal kar khakastar hojati hai to woh koudiyon ke daam farokht hoti hai ya phir scrap mein chali jati hain lekin Saudi shehri ko dekhte hi dekhte lottery nikal gayi kyunkay aag se tabah honay wali purani gaadi 30 laakh riyal mein nelaam hogayi.

Tafseelaat ke mutabiq aag lagnay se gaadi ke barbaad honay par Saudi shehri nay tey karliya tha ke usay purani gadiyon ke markaz ( al-tashleeh) ke hawalay car ke is se chutkara haasil karlega. wazeh rahay ke al tashleeh Saudi arab mein aisay maqam ko kehte hain jahan nakara gadiyaan tol kar farokht ki jati hain. kahreedar qabil-e-istemaal ke qabil purzey aur deegar samaan nikaal kar farokht karte hain. baad azan Saudi shehri nay gaari ko tashleeh ke hawalay karne ke ka iradah tark karke usay America ke bain ul aqwami nelaam ghar mein nelaam karne ka faisla kiya. Nelamee ke douran usay ehsas hua ke aag se barbaad honay wali gaadi kitni qeemti aur nayaab tareen gadiyon mein se ek hai. duniya bhar mein is model ki sirf 34 gadiyaan mojood hain.

Amrici karsaaz company nay 1961 mein ye gaadi bunyadi tor par company ke ek badey client ke liye tayyar ki thi. is mein Risng car ka engine laga hua hai. yeh gaadi ab ek dosray Saudi shehri ki milkiat hai aur usay un dinon dar-ul-hakoomat mein Riyadh season ke motor show mein rakha gaya hai. nayaab gadiyon ke shaiqeen is mein dilchaspi le rahay hain. gaadi ke moujooda Saudi mulk nay usay Amrici nelaam ghar se 30 laakh Riyal mein khareeda hai. aag se gaadi ko bhaari nuqsaan pohancha tha. motor ka box jala hua hai aur rang bhi jagah jagah se ud gaya hai. tabah shuda car ko ab company ki factory mein wapas lejakar asal haalat mein bahaal kiya jayega. dilchasp baat ye hai ke is gaadi ke ek hissay mein talfa darj hai, jiske maienay hain ke ye gaadi nakara hochuki hai. –YTN STAFF