Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsAab wo Hawa Se Bangladesh Ke 19 Million Bachoun Ke Mustaqbil Ko...

Aab wo Hawa Se Bangladesh Ke 19 Million Bachoun Ke Mustaqbil Ko Khatra

Dhaka: Bachoun se mutaliq aqwam-e-mutahidda ke idaray ne kaha hai ke Bangladesh mein aabb wo hawa ki tabdeeli zindagion aur 19 million bachon ke mustaqbil ke liye khatrah ban rahi hai .
Report mein un lakhoon bachon ke maskhdoosh mustaqbil ki paish qiyaasi ki gayi hai jo Bangladesh ke shumal sailaab aur khushk saali ke khatray se dochar nashebi ilaaqon aur khaleej bangal ke sath waqay sailaab zada sahili patti mein rehtay hain. yeh woh ilaqay hain jinhein sailaabon, samandari tufanoon aur dosray maholiyati hadsaat ka khatrah sab se ziyada hai .

Khatray ke shikaar taqreeban 2 Crore bachon mein lag bhag paanch laakh Rohingya panah Guzeen bachay shaamil hain. woh aur unke walidain myanmar mein tashadud ke khauf se naqal miknike baad bazaar ke ilaqay mein puhanche they. woh baans aur plastic se bani kamzor panah gaahon mein zindagi basar kar rahay hain jo aabb wo hawa  ke kisi saneha ka muqaabla nahi kar satke .

Aqwam Mutahidda ki report ke musannif Simon Ingram ne   kaha hai ke aabb wo hawa ki tabdeeli se bachon ki zindaganian barah e raast mutasir hongi khaas tor par ghareeb bachon ko is se ziyada khatrah hai .

aabb wo hawa ki tabdeeli se mutasirah saath laakh se ziyada panah Guzeen dehi ilaaqon se shehri ilaaqon mein muntaqil ho chuke hain. Dhaka aur kayi baday shehron mein puhanchne walay bachay apni guzar auqaat ka khud bandobast karne par majaboor hain. bohat se bachon ko intahi mushkil qisam ki bacha mazdoori par majbor kiya ja raha hai. bohat si ladkiyon ki kam Umri mein shadi ki ja rahi hai kyun ke unke khandan ab unki dekh bhaal nahi kar sakte aur aisi ladkiyan bhi hain jo shehron mein badhti hui jinsi tijarat ka nishana ban rahi hain. jin ke paas apne tahaffuz ka koi rasta nahi hai .

Mustaqbil mein darpaish be panah masail ke bawajood ingram ne   kaha hai ke woh Bangladesh ke ek doray ke douran jin bachon se miley woh bohat sakht jaan hain aur woh apna mustaqbil apne hathon mein lainay ka azm rakhtay hain. Bangladesh majmoi tor par aabb wo hawa ki tabdeeli ke liye khud ko tayyar kar raha hai. report mein bain ul aqwami baradri se appeal ki gayi hai ke woh bachon ko aabb wo hawa ki tabdeeli ke asraat se mehfooz rakhnay ke liye kiye jane   walay mutadid iqdamaat mein hukoomat ki madad karen.- YTN STAFF