Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadMein ek aam aadmi hun : KTR

Mein ek aam aadmi hun : KTR

Hyderabad : TRS ke car-guzar sadar K T Rama Rao nay aaj daawa kiya ke woh hamesha se hi ek aam aadmi hain, aur jab woh wazeer the to apni car par kabhi roshni ka istemaal nahi karte they. KTR  nay Tweet ke zareya Rakesh verma ke sawal ka jawab diya, jinhoun nay Panjagutta aur Banjara hills roads par safar karne par KTR  ki tareef ki thi.

Unhoun nay kaha ke ”jab traffic urooj par tha to, KTR , traffic ko rokay baghair aur baghair Beacon lights istemaal kiye traffic ke darmiyan se guzray.

Rakesh verma ke is bayan par radd-e-amal ka izhaar karte hue KTR  nay kaha ke woh bilkul dosray aam aadmi ki tarhan hain. unhon nay mazeed kaha ”jab mein wazeer tha ۤtab bhi mein nay aisi cheezon ka istemaal nahi kya tha. –YTN STAFF