Thursday, May 9, 2024
HomeLatest NewsShaam mein aam shehriyoun ki halakat par aqwam-e-mutahidda ki report America ney...

Shaam mein aam shehriyoun ki halakat par aqwam-e-mutahidda ki report America ney mustard kardi

New York : Washington ney jung zada mulk shaam mein jungi juraim ke murtakib honay walay Amrici fazai hamloun se mutaliq aqwam-e-mutahidda ki report ko mustard kardiya.

Tafseelaat ke mutabiq shaam ke liye America ke khusoosi numainda jam jafri ney aqwam-e-mutahidda ki report mustard kardi jis mein inkishaaf kiya gaya tha ke Amrici ittihadi forces ke fazai hamloun mein askari nishaanon aur shehrion ke darmain farq ke liye zurori ahtiyat ko khatir mein nahi laya gaya jis ki wajah se aam shehrion ki halakatein huien hain.

Khayaal rahay ke aqwam-e-mutahidda ke commission ney Amrici fazai hamlon se mutaliq tehqiqaat ki thi aur bataya ke ittihadi forces ney rawan baras January mein shaam ke junoobi shobay mein mutadid fazai hamlay kiye aur un fazai hamlon mein ek hamlay mein 16 shehri jaan bahaq hogaye they.

Commission ke paish kardah haqayiq mein bataya gaya ke Amrici ittihadi forces askari ahdaaf ko nishana bananay ke liye zurori Hidayat ko apnane mein mukammal nakaam rahay. andha dhund hamlon ke nateeje mein shehri halaak aur zakhmi hue aur unki tadaad itni hai ke yeh hamlay jungi juraim ke murtakib hain.

Report mein iqraar kiya gaya ke fazai hamlay ke waqt laa parwahi ka muzahira kiya gaya. wazeh rahay ke aqwam-e-mutahidda guzashta report mein shaam mein Amrici hamlon ko jungi juraim ke murtakib qarar diya tha. Geneva mein shaam ke liye America ke khusoosi numainda jam jeafri ney media numaindon se kaha ke hum askari karwai karte waqt intahi ahtiyat barate hain.

Unhon ney kaha ke hum aqwam-e-mutahidda ki report ko tasleem nahi karte. 1st June ko Amrici ittihadi forces ney tasleem kiya tha ke dehshat gard tanzeem Daish ke khilaaf guzashta 5 saal ke arsay mein Iraq aur shaam mein ki jaaane wali fazai karwaiyon mein ghiraradi tor par 1300 se zayed shehri bhi halaak hue.

Ittihadi forces ke ailamiye mein kaha gaya ke Amrici ittihadi forces ney august 2014 se April 2019 ke darmiyani arsay mein 34 hazaar 502 fazai hamlay kiye. doosri janib amnesty international ( AI) ney Amrici ittihadi forces ke fazai hamlon mein shehrion ki halakat se mutaliq paish kardah adaad wo shumar ko mashkook qarar diya tha. insani huqooq ke aalmi idaray AI aayi ney kaha tha ke fazai hamlon mein halaak honay walay shehrion ki tadaad Amrici daaway se kahin ziyada hain.

Guzashta mah amnesty aur fazai hamlon ke nigaran idaray ney inkishaaf kiya tha ke shaam ke shehar Ruqa mein guzashta 4 mah ke douran Amrici ittihadi forces ke hamlon mein taqreeban 1600 shehri luqmah ujal banay.

Ghair sarkari idaray ke mutabiq Amrici ittihadi forces ke hamlon mein majmoi tor par taqreeban 7 hazaar 900 shehri halaak ho chuke hain.

London mein human rights ke mutabiq sirf shaam mein ittihadi fojion ke fazai hamlon mein 3 hazaar 800 shehri jaan bahaq hue. –YTN STAFF