Chupra: Hyderabad ke rukan-e-parliment Asaduddin Owaisi ke khilaaf Saran ki chief Juditional Magistrate Noor Sultana ki adalat may Babri Masjid tanaza may Supreme Court ke faislay ke khilaaf bayan dainay ke silsilay may All India Hindu Mahasaba ke reyasti saddar Abhimanyu Kumar Singh ne muqadma darj karwaya hai.
Singh ne kal shaam daakhil apni shikayat ke khat may Leader Owaisi par Supreme Court ke faislay ke khilaaf aawaz uthany sameit mutadid ilzaam aed kiye hain. khat may kaha gaya hai ke Supreme Court ki janib se 9 November ku Ayodhya ki Babri Masjid tanaza may faisla sunaya gaya jis ke khilaaf rukan Parliment ne jalsa aam may aur awaami tor par Media may bayan day kar awam ke mazhabi jazbaat ko majrooh kiya hai.
khat may kaha gaya hai ke itna hi nahi,Owaisi ne adalat ke faislay par qabil aitraaz tabsarah karkay mulk aur parosi mulk ke dono firqoun ke darmain nafrat peda ki, jis se aman ko to nuqsaan pouncha hi hai sath hi dono firqoun ke darmain dushmani may izafay ki badi koshish bhi ki gayi hai. rukan Parliment ne Supreme Court ke faislay ke khilaaf jo aawaz uthai hai wo mulk se baghaawat ke tanazur may bhi aati hai aur unke tabsarah se Hindustan ke Hinduo ka jazbaat majrooh huve hain.
Hindu Mahasaba ke saddar ne rukan-e-Parliment ke khilaaf tazirat Hind ki dafaa 124 ae, 225 ae, 505 ae bi ( 2 ) aur 66 ae IT act ke tehat muqadma darj karwaya hai.
darein asna Chief Judicial Magistrate ne daakhil kiye gaye maamla number 3909 / 19 ko rukan Parliment aur arkaan Assembly ke liye qaim Special Juditional Officer kam Additional Chief Juditional Magistrate ( ACJM ) awwal Anurag Kumar tripathi ki adalat may samaat ke liye muntaqil kar diya hai. adalat ne agli tareekh 4 Decemeber muqarrar ki hai. – YTN STAFF