Monday, April 21, 2025
HomeSliderKCR ki dhamki be-asr, hadhtali mulazmeen apne muaqqaf par atal

KCR ki dhamki be-asr, hadhtali mulazmeen apne muaqqaf par atal

Hyderabad : Telangana ke chief minister k. Chandrashekhar Rao ki janib se mangal ki shab tak di gayi mohlat ke ekhtataam ke bawajood hadhtali mulazmeen ki badi tadaad duty se rujoo nahi hui. Un mulazmeen ki janib se riyasat ke mukhtalif maqamat par ehtijaj ka silsila jari hai.

Is ehtijaj ke sabab kayi depots se Buses ko bahar ane  se rok diya gaya. un hadhtali mulazmeen ne hukoomat ke khilaaf naaray baazi karte hue apne mutalibaat ko fori qubool karne par zor diya. Medchal ke kushaiguda depot ke samne  bhi un mulazmeen ne muzahira kiya jinko police ne hirasat mein leliya. Suryapet depot ke samne  bhi un mulazmeen ne dharna diya jis ki himayat opposition jamaaton ne ki.

Unhon ne ilzaam lagaya ke hukoomat RTC mulazmeen ke mutalibaat ko nazar andaaz kar rahi hai. Mancherial, Kurnool RTC depots ke samne  bhi hadhtali workers ne ehtijaj kiya aur mutalibaat ki himayat mein hukoomat ke khilaaf naaray baazi ki. Telangana RTC ko hukoomat mein zam karne ke asal mutalba ke sath yeh hadhtaal ki jarahi hai.

Kayi maqamat par ehtijaj karne walon ko girftar karliya gaya. is hadhtaal ke sabab Buses depots tak hi mehdood hokar reh gayi hain jis se musafireen ko kaafi mushkilaat ka saamna karna padh raha hai. kayi maqamat par ehtijaj ke douran hukoomat ke rawayya ke khilaaf narazgi ka izhaar karte hue naaray baazi ki gayi.

Kushaiguda depot ke samne  mulazmeen ke ehtajaji muzahira mein CPI ke qaumi secretary ke Narayana ne shirkat ki. unhon ne  kaha kay cheif minister ki janib se jo mohlat dete hue dhmkaya gaya is dhamki par sirf 360 hartali mulazmeen hi duty se rujoo hue. un mein drivers aur conductors shaamil nahi hain. unhon ne mutalba kiya ke RTC ke hadhtali mulazmeen ki JAC ko baat cheet ke liye madoo kiya jaye. –YTN STAF