Monday, April 21, 2025
HomeAjaayeb wo GaraayebBulgaria mein sarhad uboor karne wali gaaye ko sazae mout sunadi gayi

Bulgaria mein sarhad uboor karne wali gaaye ko sazae mout sunadi gayi

Bulgaria ki intizamia ney gaaye ki aaeni dastawizaat aur qanooni zaroriat poori kiye gaye baghair Serbia ki sarhad uboor kar ke Bulgaria mein dakhlay ka sakht action letay hue ghair qanooni taur par sarhad uboor karne ke jurm mein gaaye ko saza e mout sunaate hue kaha ke qanooni baat yeh hai ke jurm sarzad huva hai lekin kis se huva hai yeh ahem nahi hai

Bulgaria se sarhad uboor kar ke Serbia ki hudood mein daakhil honay wali haamla gaaye ku murawijja qawaneen ki takmeel ke baghair wapas lout anay par ”ghair qanooni hijrat” ke qanoon ke tehat sazae mout sunadi gayi. Bain al aqwami khabar rasan idaara ke mutabiq guzashta roz Bulgaria ke sarhadi ilaqa mein waqay aik gaaye ghalti se sarhad uboor kar ke ghair Europi union malik Serbia ki sarhad mein daakhil hogayi thi. sarhad ke paar Serbia ke dehation ney gaaye ko pakad kar dekh bhaal shuru kar di. is douran gaaye ke maalik ney sarhad par patroling karne walay ehalkaron se rabita kya jinhon ney gaaye ko Serbia ke dehation se le kar maalik ke hawalay kardiya aur yun gaaye dobarah Bulgaria pahonch gayi. taham Bulgaria ki intizamia ney gaaye ki aaeni dastawizaat aur qanooni zaroriat poori kiye gaye baghair Serbia ki sarhad uboor kar ke Bulgaria mein dakhlay ka sakht action letay hue ghair qanooni taur par sarhad uboor karne ke jurm mein gaaye ko sazae mout sunaate hue kaha ke qanooni baat yeh hai ke jurm sarzad huva hai lekin kis se huva hai yeh ahem nahi hai. aaeni dastawizaat ke baghair sarhad uboor karna sangeen jurm hai jis ki saza mout hai. gaaye ko is terha sazae mout sunaye janay ke baad social media mein is faislay ko mazhaka khaiz qarar dete hue sarifeen ney shadeed nuqta cheeni ki aur duniya bhar mein yeh trained ban gaya. wazeh rahay ke Serbia Europi union mein shaamil nahi jab ke Bulgaria Europi union mein shaamil malik hai jahan ghair Europi union mumalik se shadeed ikhtilafat ke baais immigration ke sakht qawaneen mojood hain aur sakht jaanch partaal aur thaka dainay wali kaghazi karwai ke baad hi ghair Europi union mumalik ke afraad ko dakhlay ki ijazat millti hai.