Monday, April 21, 2025
HomeIndiaDelhi ki Buses mein khawateen ki hifazat ke liye tainaat kiye gaye...

Delhi ki Buses mein khawateen ki hifazat ke liye tainaat kiye gaye 13,000 marshalls

New Delhi : Bhai dujh ke mauqa par mangal ko Delhi ki Arvind Kejriwal hukoomat ne khawateen ko DTC Buses mein muft safar ka tohfa diya hai. is elaan ke sath hi Delhi hukoomat ne khawateen ki hifazat ko tarjeeh dete hue DTC Buses mein 13,000 marshal bhi tainaat kar diye hain.

Agar-chay ke, is se pehlay bhi Buses mein marshal tainaat they, lekin unki tadaad sirf 3400 thi aur kuch khaas Buses aur raat mein chalne wali Buses mein hi tainaat kiye gaye they, lekin ab marshal ko Delhi ki tamam DTC aur cluster Buses mein marshall tainaat kar diye gaye hain.

Delhi hukoomat ke elaan ke baad mangal ki subah se hi marshal Buses mein nazar arhay hain. Buses ke andar stickers bhi lagaye gaye hain, jis ke zareya shar pasandon ko intibah kiya hai. is stickers par likha hai ”khabardaar! kisi aurat ko tang karne ki koshish na karen. marshal is bus mein mojood hai.

Un marshal ki taenati khawateen ki hifazat ke liye ki gayi hai. agar koi shakhs kisi khatoon ko pareshan kare to woh unse shikayat kar sakti hai, ya phir unko kahin koi gadh badh aayi to yeh marshal is khatoon ki madad karenge. agar koi buzurag beemaar hai to un ki bhi madad karenge. –YTN STAFF