Monday, April 21, 2025
HomeSliderUmrah visa ki miyad mein towsee ki umeed

Umrah visa ki miyad mein towsee ki umeed

Riyadh : Jab se Saudi hukoomat ne Umrah, Hajj, visit aur sayahat ke visas ki nai fees 300 Riyal muqarrar ki hai tab se visas se mutaliq mukhtalif qisam ke sawalaat samnay anay lagey hain. Al- Madina akhbar ke mutabiq Umrah visay par Saudi arab aaney waloun ki janib se ek bada sawal ye kiya jaraha hai ke kiya Umrah visay ki meyaad mein towsee hosakti hai. is sawal ka sabab yeh hai ke Umrah visay ki karwai ek arsa pehlay shuru kardi jati hai. programme banatay waqt baaz logon ke halaat ijazat nahi dete ke woh ziyada arsa Saudi arab mein guzaar sakenge.

Achanak sorat-e-haal badalti hai to wo visa mein towsee ke arzoo mand ho jatay hain.

Naib wazeer Hajj wo Umrah Dr abdul fatah Sulaiman mashat ne elaan kiya hai ke Umrah company Umrah visay par aaney walay ke programm mein towsee ka haq rakhti hai. Towsee Umrah visa ki intahi meyaad ke daira hi mein hogi.

Umrah par aaney wala company se muqarara ayyaam ke hawalay se package leta hai. uski raqam Saudi arab mein qiyam aur programme ke paish-e-nazar kam aur ziyada hoti hai. Umrah programme mein towsee par rahaish aur transport ke intizamaa alag se karne honge lehaza aisi surat- mein naye package ki fees mein khud bakhud izafah hojayega.

Wizarat hajj wo Umrah ne elaan kiya hua hai ke 49 mumalik se aaney walon ki Umrah fees 300 Riyal hai jabkay umrah par anay walay se Health insurance ki mad mein 110 Riyal mazeed wusool kiye jayenge. Mahsat ke Mutabiq wizarat ke matehat khusoosi committee ne Umrah aur iske visa se mutaliq kayi sifarshaat tarteeb di hain. unka maqsad Saudi vision 2030 ke mutabiq umrah par aaney walon ke liye ziyada se ziyada sahuliyaat muhayya karna hai.
Sifarshaat mein kaha gaya hai ke Umrah companian ek taraf to apni khidmaat achi tarhan se muta-arif karwaen. Doosri janib muqarara khidmaat Ahsan shakal mein pesh karen aur har khidmat ke hawalay se iski wazeh fees bhi jari karen. mukhtalif khidmaat par mushtamil alag alag Umrah package jari karkay unki marketing karen. beeroon mumlikat muqeem agencio ki madad se yeh kaam anjaam diya jaye. –YTN STAFF