Kashmir : Moujooda hukoomat ki ghalat policies ki wajah se Kashmir ki taraqqi aur san-aton ko musalsal masail ka saamna hai aur aaye din koi na koi sanat shadeed bohraan se do-char horahee hai aur ab waadi mein khushk mewajat ki sanat ko mushkilaat ka saamna karna padh raha hai. waadi Kashmir ko khushk mewaoun ki paedawar mein kaafi shohrat haasil hai lekin rawan saal hukoomat ki laa-parwahi ke baais khushk mewaoun ki faslein musalsal zawaal Pazeer hoti jarahi hain. khushk mewaoun ki mandi nah lagnay ki wajah se yeh sanat zawaal Pazeer ho rahi hai.
Bataya ja raha hai ke is zawaal ko bachanay ke liye log apne tareeqa par koshish kar rahay hain lekin hukoomat waqt ke janib se koi thos iqdamaat nahi kiye ja rahey hain, kuch arsoun se zila pulwama mein akhrot ke liye khusoosi godam qaim kiye gaye hain, jahan akhrot ko saaf karkay uski packing ki jati hai, lekin hukoomat ki la-parwahi ki wajah se sanat har saal nuqsaan se do chaar ho rahi hai. kisanon ko market ki sahuliyaat ke liye jammu ka rukh karna padta hai.
Ek muqami mewa kashtkaar Nisar Ahmed ne media se baat karte hue kaha ke afsos ki baat yeh hai ke Kashmir mein khushk mewaoun ki paedawar ke bawajood uskay liye koi manndi nahi bani hai, agar manndi ban jaye to hamein iski taraqqi ke liye kaafi madad mileygi. ab halaat yahan tak hogaye hain ke agar kisi ke paas thoda sa bhi maal hota hai to woh usay farokht ke liye seedhay jammu chala jata hai.
Ek unit holder Ashfaq Ahmed ne media se baat karte hue kaha ke koi achaa sa market nah honay ki wajah se uska miyaar gir raha hai aur hukoomat bhi koi madad nahi kar rahi hai lekin jab GST nafiz kiya gaya to hum ne socha ke hukoomat kuch to karegi lekin wahan bhi mayoosi mili. logoun ke liye srinagar mein tarhan tarhan ke pouday ugaye jarahay hain, Ajaz Ahmed Nami ek director ne bataya ke market srinagar mein qayam ki jarahi hai jabkay Kashmir ko Nazar andaaz kiya jaraha hai. –YTN STAFF