Sunday, April 20, 2025
HomeSliderLebanon ki awam bhi Mohammad Bin Salman jaisay qaied ki khwaahan

Lebanon ki awam bhi Mohammad Bin Salman jaisay qaied ki khwaahan

Beirut : Lebanon mein guzashta kayi dinon se jari ehtijaj ke baad awam ke raye ka yeh nateeja agaya hai ke inhen bhi Mohammad Bin Salman jaisa qaied ki khwahish hai. Lebanon mein guzashta ek haftay se jari ehtajaji muzahiron par poori duniya ki nazrain hain. arab aur aalmi media ke numainday dar-ul-hukoomat Beirut aur mulk ke badey shehron aur qasboun mein honay walay muzahiron mein shareek afraad ki raye jan-nay ki koshish kar rahay hain .

Tafseelaat ke mutabiq qatri satellite channel, ki numainda muzahiray mein shaamil ek labnani noujawan se bohraan ke hal ki baabat daryaft kiya. Labnani nojawan ne kaha hamein Mohammad Bin Salman jaisa leader chahiye. mulk ki islaah ke liye ek shareef rehnuma ki zaroorat hai. jis tarhan Saudi arab mein Mohammad Bin Salman kaam kar rahay hain waisa hi leader hamein chahiye. labnani nojawan ne yeh bhi kaha kay hamaray mulk se 100 arab dollar loot liye gaye hain. inhen wapas laane ke liye Saudi walii ehad shehzada Mohammad Bin Salman jaissa rehnuma chahiye. yeh suntay hi media ki numaindagi karne wali khatoon ne labnani nojawan ke sath guftagu ka silsila band kardiya. yaad rahay ke Lebanon mein muashi badhaali aur bad unwani ke khilaaf awam ek haftay se saraapaa ehtijaj banay hue hain. woh hukoomat se isteefay ka mutalba kar rahay hain.

Alawa azeen aap ko bebi shark ganay ke barey mein maloom hi hoga. yeh gana duniya bhar ke bachon mein khasa maqbool hai, pink fong ke naam se Korean youtube channel par bachon ke liye jab yeh gana release hua to dekhte hi dekhte viral hogaya. na sirf Korea , America balkay bar e sagheer mein bhi bachon ka yeh pasandeeda gana Ban chuka hai.

Bachon ko to lehek lehek kar ye gana gatay sab ne hi dekha hoga lekin Lebanon mein bachay nahi balkay badey yeh gana course mein aisay garahe hain jaisay yeh unka qaumi taranah ho. Lebanon ke shehar Beirut mein jahan muashi Adam istehkaam par hukoomat ke khilaaf muzahiray jari hain, ek khatoon apni car mein sawaar bada zila se guzar rahi theen ke muzahireen ne unki gaadi ka gherao karliya aur naaray baazi shuru kardi. unke sath unka 15 mah ka beta bhi gaadi mein sawaar tha. khatoon ne inhen ( muzahireen ) se kaha ke mere sath mera chhota beta bhi hai, shor mat machayen jis par unhon ne be bi shark gana shuru kardiya. yeh bilkul achanak tha, mere betay ko yeh gana be hadd pasand hai. Jaboor ne mazid kaha ke is saari sorat e haal ki video foran hi poooray Lebanon mein viral hogayi yahan tak ke mere batanay se pehlay hi mere shohar ne yeh video social media par dekh li thi.

Lebanon ke kasheeda halaat mein is ganay ne mahol ko kuch hadd tak Khushgawar bana diya hai. wazeh rahay ke Lebanon ki hukoomat ki janib se taxon ke nifaz ka elaan kiya gaya tha jis ke khilaaf awam ki badi tadad sadkoun par nikal aayi aur apur-tashaddud muzahiron ka silsila shuru ho gaya. Jabor ne mazeed kaha ke muzahireen ki un ke bachay ke liye ganay ki video darasal Lebanon ke bachon ke haqayiq ki akkaas hai. Lebanon ke bachon ka behtar mustaqbil hona chahiye, roeben jab bada hojayega to ye video dekhega aur yeh usay yeh maloom hoga ke labnani is ke ( huqooq ) ke liye ladh rahe they. –YTN STAFF