Sunday, May 4, 2025
HomeLatest NewsTSRTC, ki hadtaal 18 win din mein daakhil, Abhi tak unke masail...

TSRTC, ki hadtaal 18 win din mein daakhil, Abhi tak unke masail ki yaksoi nahi hui

Hyderabad : Telangana State Road Tansport Corporation ( TSRTC ) ke hadtaal kar rahay mulazmeen, jin ki hadtaal 18 win din mein daakhil ho gayi hai. Unhon ne mangal ke roz ehtijaj karne ka aik naya tareeqa ikhtiyar kiya. Un had taali mulazmeen ne Aarzi mulazmeen se mulaqaat ki aur unhen phool- paish kiye. Tafseelaat ke mutabiq un mulazmeen ne Aarzi Driveroin aur conductoroun se mulaqaat ki aur Unhen phool paish kiye aur un se Dar khwast ki ke woh basein na chalayein. Aur un se taawun karen.

Un Aarzi mulazmeen ko bataya gaya ke hadtaal karne walay mulazmeen ki Joint Action Committee ( JAC ) bhi tansport ki khaali jayidadoun ko pur karne ke liye hukoomat se lad rahi hai, is liye unhen jaari hadtaal se faida hoga.

wazeh Ho ke Telangana State Road Tansport Corporation ( TSRTC ) ke 48000 se ziyada mulazmeen, Riyasati telangana hukoomat se RTC ko hukoomat mein zam karne ke alawa deegar mutalibaat ko poora karne ki maang ko le kar 5 اOctober se hadtaal par hain. aur hukoomat ke sath koi baat cheet nah honay par hadtaal jaari hai aur 18 win din mein daakhil ho gayi hai. hadtaali mulazmeen oppostion jamaatoun, mukhtalif trade Unionoun, talba tanzeemoun ki himayat se apna ehtijaj jari rakhay hue hain, TSRTC Aarzi bunyaad par bharti honay walay kaarkunoun ki madad se bas khidmaat Anjaam dey rahi hai .

Udhar Telangana  high court ney dono fariqain ko is muamlay ko baat cheet ke zariye hal karne ke liye do baar tajweez paish kiya hai, lekin ta-attul ko todhney ke liye dono fareeqon ki taraf se koi iqdaam nahi kiya gaya hai. JAC ke Convenor Ashvathama reddy ney kaha ke ”agar hukoomat ya TSRTC ney inhen dawat di to woh mazakraat ke liye tayyar hain. unhon ney kaha ke agar baat cheet hoti hai, to bhi hadtaal jaari rahegi.

Pichlle haftay do mulazmeen ney mulazmat chali jaaane aur mah September mein thankhah nah milnay ke baad afsurdagi ke aalam mein khud kashi karli. lekin hukoomat –apne sakht muaqqaf se nahi hati. high court 28 october ko is muamlay par dobarah samaat shuru karne wali hai. high court ke aik judge bhi national mazdoor union ( NMU ) ke zariye daair ki gayi darkhwast par alehda alehda samaat kar rahe hain, jis mein TSRTC ko September ki tankhwahon ki adaigi ke liye hidaayat di gayi hai. TSRTC ney peerr ke roz adalat ko aagah kiya ke woh mulazmeen ko Tankhwahein dainay ki position mein nahi
hai .

Incharge Managing Director sunil sharma ney adalat ko aagah kiya ke TSRTC ko tankhwahoun ki adaigi ke liye 2, 393 crore rupiye darkaar hain, lekin is ke khatay mein sirf 7. 49 crore rupiye hain. unhoun ney yeh bhi bataya ke festival season mein mulazmeen ki hartaal se ab tak RTC ko 125 crore rupiye ka nuqsaan hwa hai.

JAC rahnumaoun ney peer ki shaam riyasti governor Tamlisai Sondra rajan se mulaqaat ki aur un ki mudakhlat ki Darkhwast ki. governor ney pichlle haftay wazeer Transport P Ajay kumar se phone par baat kiya tha, taakay woh is baat ko yakeeni banaein ke awam ko takleef nah ho.