Hyderabad: Guzashta do hafton se jari RTC basoon ki hartaal aur aaj kya bus ke ilawa auto’s ke band honay ki wajah se jahan awam ko mushkilaat ka saamna karna para wahein un halaat mein awaami hamal o naqal ka wahid rasta hyderabad metro rail hai lekin takneeki khamion ki wajah se chand ek masail ke waqeat runuma hue lekin haliya jo waqea metro rail ke sath runuma hwa hai is ney is ke behtareen aur aala mayaari honay par sawalia nishaan laga diya hai kyunkay mausam barsaat mein khasta haal makanaat ke chhat hi tapaknay ki khabrain aati thi lekin taaza tareen khabar mein metro rail ke chhat tapaknay ka waqea paish aaya hai .
takneeki masail se pehlay hi dochar hyderabad metro rail ko ab shehar ke mausam ki wajah se deegar masail ka saamna karna par raha hai. guzashta ek hafta se shehar hyderabad ka mausam jis terhan hai is se hwa mein ratobat aur nami 80 se 90 feesad mojood hai aur isi ko metro rail ki chhat tapaknay ki ahem wajah bataya ja raha hai. metro rail ki chaton se pani tapaknay ki wajah se musafiro ko kaafi pareshani ka saamna karna par raha hai
khaas kar Miyapur say nagole jany walay musafiron ne AC ki haamil rail ke chaton ke tapaknay ki shikayat ki hai. musafiro ne mazeed kaha hi ki chaton se pani tapaknay ki wajah se nah sirf daftar rawaangi ke waqt pehnay jany walay behtar kapray balkay mobile aur deegar electronic alaat ko bhi nuqsaan hwa hai kyunkay kisi ne yeh gumaan nahi kya tha ke aala miyaar ki tasawwur ki jany wali hyderabad metro Rail mein is terhan ka masla darpaish hoga. metro rail ke khaas kar AC unit se pani tapaknay ki shikayat ziyada masool horahee hai kyunkay yahan pehlay hi shehar ka mausam thanda hai wahein AC ki thandak ki wajah se train ke chhat tapaknay shuru ho chukay hain .
metro rail ke is munfarid masla ki tashheer ke liye musafiro ney social media jis mein khaas kar twitter par videos shaya kar di hain. ta haal kam az kam 5 online darkhwasten daakhil ki gayi hai jis mein musafiro ney metro rail ki chhtin tapaknay ki shikayat arbab majaz se ki hain. darin aasine ahukam ney bhi is masla se nimatnay ke liye aur awam ki shikayaat masool karne ke liye help line bhi jari ki hai .