Thursday, May 22, 2025
HomeSliderWazeer transport ne ”TSRTC ke hukoomat mein Inzimam ko mustarad kardiya

Wazeer transport ne ”TSRTC ke hukoomat mein Inzimam ko mustarad kardiya

Hyderabad : In dinoun Telangana road transport corporation ( TSRTC ) ke hazaroun mulazmeen reyasti hukoomat se apne mutalibaat ko manwane aur TSRTC ko reyasti hukoomat mein zam karne ka mutalba karte hue hadhtal par hain, aur unki hadhtaal hafta ke roz aathween din mein shaamil hogayi hai.

Riyasat Telangana ke wazeer transport, P Ajay kumar ne hafta ke roz reyasti hukoomat mein TSRTC ke Inzimam ko mustarad kardiya aur kaha ke TSRTC ko hukoomat mein zam nahi kiya jayega. Ajay kumar ne hadhtaal kar rahay mulazmeen aur unki himayat kar rahay opposition jamaaton ko tanqeed ka nishana banaya.

Unhon ne TSRTC mulazmeen par barhami ka izhaar karte hue kaha ke ”unhoun ne opposition jamaaton ke isharay per hadhtaal shuru ki, jo logoun ko gumraah kar rahay they.

Unhon ne opposition jamaaton par, TRS hukoomat ke khilaaf jhutey ilzamaat laganay ka ilzaam aaed kiya. unhon ne yeh bhi kaha ke schooloun se wabsta tamam private buses ko schools ko sompa jayega, taakay woh apne talba ko school laane aur le-jaaney ke liye istemaal kar saken.

Wazeer transport ne mazeed kaha ke ”TRS ne kabhi nahi kaha ke woh TSRTC ko hukumat mein zam karegi, unhon ne kaha ke awam ko hadhtaal ki wajah se horahi takleef se bachanay ke liye 7,358 baseen chalaye ja rahi hain.

Unhon ne kaha ke riyasat-e-Telangana ki tashkeel ke waqt TSRTC ke asason ki maliyat 4,416 crore rupaye thi aur is ko mazboot bananay ke liye wazeer-e-aala K Chandar shekhar rao ki koshishein jari hain. Ajay kumar ne kaha ke ”RTC committee ne aarzi amlay ko tarbiyat ke zareya bharti karne ke liye apni karwai mukammal karli hai. –YTN STAFF