Hyderabad : BJP hukoomat Kashmir mein Article 370 barkhast karte hue yeh daawa kar rahi hai ke ab Kashmir mein sayahat ko bhi taraqqi mileygi lekin guzishta 3 barsoun mein Hindustan ke hi sayahat ke shoba mein mulazimatoun mein giravat record ki gayi hai. duniya ki number ek site’ ‘ indeed’ ‘ ke adaad wo shumaar se pata chalta hai ke Hindustan mein mulazimatoun ke mutalashiyoun ki taraf se sayahat mein rozgaar ke liye April aur May 2019 ke douran bohat ziyada koshish ki gayi, yeh wohi waqt tha jab Hindustan mein aam intikhabaat ho rahay they.
Jaisa ke indeed ke adaad wo shumaar se zahir hota hai ke hindustani afraad sayahat ke shobay mein kaam karne mein mustaqil dilchaspi ka muzahira karte hain. indeed ke mutabiq, sayahat se shoba mein mulazimatoun ki talaash mein hindustaniyoun ki janib se pichle 3 saal ( July 2016 taa July 2019 ) mein 10 feesad izafah dekha gaya hai. pichlle saal hi ( July 2018 taa July 2019 ) is shoba mein mulazimat talaash karne ke muamlay mein 7 feesad izafah dekhnay mein aaya hai. taham isi arsay ke douran sayahat mein mulazmat ke mawaqay aur nokriyon ki posting ki tadaad mein kami waqay hui hai.
July 2016 se July 2019 tak sayahat se mutaliq mulazmat ki postings mein 3 feesad kami waqay hui hai, sirf pichle saal ( July 2018 taa July 2019 ) 7 feesad kami dekhnay mein aayi hai.
Indeed Hindustan ke Managing director sashi kumar ne kaha, sayahat maeeshat ke liye ek ahem shoba hai, na sirf mulk ki GDP mein is ki shiraakat ke lehaaz se balkay is se rozgaar ka hissa bhi paeda hota hai. wizarat sayahat ke mutabiq 2017 mein sayahat ne Hindustan ki GDP ke 9 feesad se ziyada aur iska jumla mulazimatoun mein 8 feesad se ziyada hissa raha. chunkay is shobay ki taraqqi ki paish qiyaasi ki jarahi hai lehaza hum umeed kar sakte hain ke aaney walay mahino mein aur bhi bohat se mawaqay samnay aayenge. –YTN STAFF