Sunday, April 20, 2025
HomeOthersHealthRaat mein 6 ghantoun ki neend poori karen ya phir kayi jaan...

Raat mein 6 ghantoun ki neend poori karen ya phir kayi jaan leva bimariyoun ke liye tayyar rahen

Hyderabad : kaisa acha tu hai Allah , raat banai aaraam ko din banaye kaam ko’ ‘. Raqam al hurof jab school mein zair-e-taleem tha to nazam ke yeh misrey hua karte they, bachpan mein to sirf yaad dehani aur imtehanaat mein achay numbers ke husool ke liye iski ziyada mashq ki jati thi lekin kabhi yeh nahi socha tha ke raat ko kam az kam 6 ghantay se kam neend cancer aur amraaz-e-qalb ki wajah banti hai, lekin ab nai tahaqeeq mein yeh inkishafaat samnay aaye hain.

Aaj raat ko der tak jaagna ek fashion ban gaya hai aur agar koi raat jald ( 10 aur 11 bajey ) sojata hai to usay asar-e-haazir ka Insaan hi nahi samjha jata hai lekin medical science ne phir ek martaba saabit kardiya hai ke raat ko jald sona aur kam az kam 6 ghantay sona Insaan ko kayi mohalik amraaz se mehfooz rakhta hai.

Raat ko 6 ghantay se kam neend ko mamool bana lena amraaz-e-qalb ya cancer se mout ka khatrah dugna balkay chand amraaz la-haq honay par 3 gina badh jata hai. yeh inkishaaf America mein honay wali ek tibbi tahaqeeq mein kiya gaya hai. Pensylvania  state college of Medicine ki tahaqeeq mein daryaft kiya gaya ke high blood pressure ya diabetes type 2 ke mareez agar raat ko kam sona aadat banalen to unka amraaz-e-qalb ya faalij se mout ka khatrah dugna badh sakta hai. aur aisay afraad jin mein amraaz-e-qalb ki tareekh rahi ho, un mein na kafi neend se cancer se mout ka khatrah 3 guna badh jata hai.

Is tahaqeeq ke nataij tibbi jareeday journal of the american heart association mein shaya hue hain. jis ke mohqiqeen ne kaha hai ke nataij se intibah milta hai ke neend ka dorania mamool par lana mukhtalif amraaz ke shikaar afraad ko kisi hadd tak tahaffuz faraham kar sakta hai. taham is hawalay se mazeed tahaqeeq ki zaroorat hai taakay yeh daryaft kiya jasakay ke neend ke miyaar aur doraniye ko tibbi ya deegar Therapies ki madad se behtar banakar mout ke khatray ko kis had tak kam kiya jasakta hai.

Tahaqeeq ke douran 20 se 74 saal ki Umar ke 1600 se zayed afraad ( jin mein nisf se zayed khawateen theen ) ke adaad wo shumar ka tajzia kiya gaya aur inhen high blood pressure ya type two diabities aur amraaz-e-qalb ya faalij ke 2 mukhtalif groups mein taqseem kiya gaya. un afraad par sleep laboratory mein 1991 se 1998 ke douran ek raat ke liye tahaqeeq ka hissa banaya gaya tha aur phir mohqiqeen ne 2016 mein unki amwaat ki wujohaat ka taayun kiya.

Unhon ne daryaft kiya ke 512 afraad amraaz-e-qalb ya faalij ke nateejay mein halaak hue jabkay ek chowthai ke liye cancer jaan lewa saabit hua. isi tarhan jo log high blood pressure ya diabetes ka shikar hote aur 6 ghantay se kam waqt tak sonay ke aadi they, un mein amraaz-e-qalb ya faalij se mout ka khatrah barh gaya jabkay amraaz-e-qalb ya faalij ka shikaar honay walay afraad mein is aadat ke nateejay mein cancer se mout ka khatrah 3 guna badh gaya, taham diabetes ya blood pressure ke shikaar afraad agar 6 ghantay se ziyada sonay lagey to yeh khatrah kam hojata hai.

Mohaqiqeen ke mutabiq neend ka kam dorania bhi taweel al-mayaad bunyadoun par mukhtalif amraaz ke liye khatray ke anasir mein shaamil kiya jana chahiye. rawan saal august mein Sweden ke institute ki tahaqeeq mein bhi isi tarhan ka nateeja nikala gaya tha. tahaqeeq mein 13 laakh afraad ke data ka tajzia karne ke daryaft kiya gaya ke be khwabi ke shikaar afraad mein amraaz-e-qalb ka khatrah bohat ziyada hota hai. yeh to pehlay se maloom tha ke neend ke awarz aur amraaz-e-qalb ke darmiyan taaluq moujood hai lekin yeh wazeh nahi tha ke neend ki kami barah-e-raast iski wajah hai ya iska taaluq jins se hai.

Amraaz-e-qalb duniya mein amwaat ki chand badi wujohaat mein se ek hain aur muhaqiqeen ne kaha hai ke yeh zurori hai ke be-khwabi ki wajah ki shanakht karkay is ka ilaaj kiya jaye. unhon ne kaha ke tahaqeeq ke douran 248 jeneati ishaaron ka jaiza le kar dekha gaya ke be khwabi kis had tak amraaz-e-qalb, heart failure, faalij aur deegar bimariyoun ka baais banti hai.

Nataij se maloom hua ke neend ki kami heart attack ka khatrah 13 feesad, heart failure ka 16 feesad jabkay faalij ka imkaan 7 feesad tak badha deti hai. mohqiqeen ke khayaal mein neend ki kami aasabi nizaam ko mutasir karti hai jo mukhtalif amraaz par rad-e-amal zahir karta hai khusosan khoon ki sharianon ka nizaam ziyada mutasir hota hai, jis se faalij ka khatrah badhta hai aur waqt guzarnay ke sath heart failure ka bhi saamna hosakta hai. nataij se yeh bhi maloom hua ke neend ki kami jismani wazan mein izafay aur type two diabities ka baais bhi banti hai. –YTN STAFF