Monday, April 21, 2025
HomeIndia30,000 foot ki oonchai par Gandhi Jayanti lekin kayi project hunuz na-mukammal

30,000 foot ki oonchai par Gandhi Jayanti lekin kayi project hunuz na-mukammal

New Delhi : Tata Group aur singapore airlines ke joint venture tayyarah khidmaat faraham karanay wali company 2 Ocotober ko 30 hazaar foot ki oonchai par musafiron se samaji tabdeeli ke baare mein mashwaray lekar kar Baba-e-qoum Mahatma Gandhi ka 150th youm-e-paidaiesh manayegi.

Airlines ney kaha ke 2 october ko iski chandh parwazon mein badi cheez at 30,000 foot muhim ke tehat musafiron se post card par is samaji tabdeeli ke baare mein likhnay ke liye kaha jayega jo unke dil ke qareeb hai. kochi mein waqay ghair sarkari tanzeem letter farms ke taawun se yeh muhim chalaye jarahi hai.

Dehli aur Bangalore , chennai, Calcutta aur Mumbai ke darmiyan ki 8 parwazoun par is muhim ke zareya bapu ka yom-e-paidaiesh manaya jayega. un parwazoun ke musafiron ke liye muhim mein hissa lena ikhtiyar  hoga. Ek janib 30 hazaar ki bulandi par Gandhi Jayanti mananay ka programme horaha hai lekin doosri janib kayi projects Adam takmeel ka shikaar hain.

Baba-e-qoum Mahatma Gandhi ki zindagi bhar hindi ke liye ladtay rahay lekin guzashta 10 saal se gandhi hindi mein dastyab nahi hai aur unke 150 jayanti saal mein iski dobarah ashaat nahi ho payi.

Is douran 100 jildon mein angrezi mein shaya gandhi ki DVD bhi aagayi aur tamam set pendrive mein bhi dastyab hai lekin hindi mein yeh aaj tak dastyab nahi ho paaya. itna hi nahi sahtih academy ke sabiq saddar Vishwanath tiwari ki adalat mein Gandhi jee par hindustani zabanon mein likhay gay Maroof wo mashoor shaksiaat ki yaad dashton aur nazmoun ka ek majmoa bhi 150 win jayanti saal mein shaya honay wala tha lekin woh aaj tak shaya nahi saka kyunkay copy right ki ijazat aaj tak inhen nahi mil payi aur woh mansoobah barf daan mein hi pada hai.

Fine arts ( LLT KALLA ) academy ney wizarat Saqafat ko Gandhi jee se mutaliq bohat se tajaweez beje lekin 150th saal guzar jaane tak koi manzoori nahi mil payi hai. it-tila-aat wo nashriyat ki wizarat ke zaraye ke mutabiq Gandhi ka sara set 1998 mein shaya hua tha lekin taqreeban 10 saal se woh dastyab nahi hai. is ko dobarah shaya karne ka kaam chal raha hai aur umeed hai ke is saal ke aakhir tak aajayega. zaraye ney kaha hai ke mehakma publishing ney gandhi jee ke 150 win yom-e-paidaiesh ke mauqa par un par 21 kitaaben dobarah jari ki hain. jin mein 16 hindi mein hain. un mein champarn Paran , Gandhi dil, gandhi ki prarthna sabha ki taqarir aur gandhi ki yaddashtin ahem hain.

Gandhi Vangamaiya shaya karne ka mansoobah nehru jee ke daur mein taiyar kiya gaya tha aur 1956 mein is par kam shuru hua aur 1994 tak atay atay is ki so martaba ashaat hui. iske baad 1998 mein iske hindi tarjuma ke tamam section aeye. gandhi vangamiya ke cheif editor professor ke swamnathan ney is kaam mein apni zindagi ke 30 saal sirf kiye. zaraye ke mutabiq gandhi vangamiya ka mukammal DVD ka set mehez 800 rupay mein dastyab hai jabkay pendrive set 1800 rupay mein mil raha hai. –YTN STAFF