New Delhi : Ayodhya Babri masjid wo Ram janam bhoomi case mein 26th din samaat hui. is muamlay par Supreme Court ke chief justice Ranjan Gogoi ne ek bada bayan dete hue kaha ke ”is case ki samaat 18 october tak mukammal honay ki umeed hai. aur is per November tak faisla aasakta hai.
Chief justice Ranjan Gogoi ne kaha ”hamein umeed hai ke hum 18th october tak Ayodhya ram janam bhoomi case mein samaat mukammal karenge. is ke liye hum sab ko mushtarqa koshishen karni hogi. is ke baad judges ko faisla likhnay mein 4 haftay lagenge. agar fareeq salisi sameit deegar tareeqon se maamla taye karna chahtay hain to woh karsakte hain.
fariqain ko samjhota karkay adalat ko batana chahiye. is tanaza ki samaat kar rahi bench mein Justice Ranjan Gogoi ke alawa, Justice SA Bobde, Justice DY Chandar chodh, Justice ashok bhushan aur Justice Abdul Nazeer shaamil hain.
Darasal samaat ke douran Ranjan gogoi ne sabhi fareeqon se poocha ke woh kitnay kitnay din mein apni behas poree kar lenge. aaeni bench ki sadarat kar rahay cheif Justice Ranjan Gogoi ne kaha agar ek baar sabhi fareeq bata dete hain ke kitna waqt lenge to hamein pata chal jayega ke faisla likhnay ke liye kitna waqt mileyga.
Muslim jamaatoun ki janib se wakeel Rajiv dhawan ne kaha ”ham aglay hafta tak apni behas mukammal karlenge “. to bench ne sabhi fareeqon ko 18 october tak apni daleelen wo behas mukammal karne ko kaha hai. wazeh hoke Ranjan Gogoi isi saal 17 November ko retired ho rahay hain. is liye bench is puranay tanaza par is se pehlay faisla suna sakti hai.
Allahabad High Court ne apne 2010 ke faislay mein mutanazia araazi ko teen masawi hisson yani raam lalla, nirmohi akhadha aur sunni waqf board mein taqseem kiya tha. jiske baad yeh maamla Supreme Court pohancha tha. jahan is ki rozana samaat jari hai.
Supreme Court mein mazkoorah Ayodhya maamla ki rozana samaat 5 September se shuru hui thi. pehlay Nirmohi akhada ki janib se daleelen paish ki gayeen. iske baad raam lalla aur raam janam bhoomi samiti, ne daleelen paish kee. hindu fareeq ki daleelen poori honay ke baad ab muslim fareeq ki janib se daleelen deeni shuru hoyi hain. umeed hai ke woh bhi jald khatam hongi. is liye yeh umeed ki jarahi hai ke bohat jald is maamla ka
faisla sunaya jasakta hai. –YTN STAFF